SHABEEH E PYAMBER S.A.W.S AKBER NOHA KRY MAA,SHAH K DILBER AKBER NOHA KRY MAA😭😭😭😭😭😭.ARMAN BUHT THA MEIN TERI SHADI RACHAON IK ROZ DULHAN CHAND C MEIN BYAH K LAON PR LASH PE ROTI HA TERI KHOK JALI MAA,😭😭😭😭😭😭
armaan bahot tha main teri shaadi rachaoon ek roz dulhan chand si mai byaah kay laaoon par laash pe roti hai teri kokh jali maa shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar.. zindan thay tumhay dekh ke ab kaise jiyengay socha tha tere byaah ki poshak siyengay par tujh ko kafan bhi na mila haaye meri jaan shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar.. roti hai phuphi jis nay tujhe laad say paala tum kya gaye rukhsat huwa is ghar say ujaala ek baap zayeefi may huwa be sar-o-samaan shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar.. mar jaye jawaan laal agar door watan se mahroom ho ghurbat kay sabab gor-o-kafan se tadpaata hai is waqt may kya tangi-e-daamaa shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar.. abbas ka sadma bhi, abhi kam na huwa tha aisay may meri jaan tera waqt-e-ajal aaya tum margaye kuyn mar na gayi laal teri maa shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar.. bemaar behan takti hai beta tera rasta pardes may aaye to raha yaad na waada maqtal kiya aabaad madina kiya veeraan shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar.. phirta hai meri aankh may ab tak wohi manzar ay jaan-e-pider noor-e-nazar ay ali akbar hamshakl-e-nabi kehte thay tum ko shah-e-zeeshan shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar.. allah nigehbaan tumhara meray pyaaray hum log rasan basta suye shaam sidhaare sota hai teray saath yahin asghar-e-naadan shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar.. pyaasay thay bahot pyaas ye kis tarah bujhaai is chaand say sine pe sina zulm ki khaayi tum sotay ho maa jaati hai beta suye zindaan shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar.. rehaan ye kya khoob likha gham ka fasana zehra ne tujhe bakhsha hai lafzon ka khazaana le hogaya bakhshish ka teri hashr may samaan shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa shaah ka dilbar..
Legend Dr Rehaan sahb
Nadeem Sarwar old
Love from Gujarat india
Mashallahsubshallah zindibad Ali Rizvi
Kia khub perh dia dil cheer k rakh dia salamat rahain..
SHABEEH E PYAMBER S.A.W.S AKBER NOHA KRY MAA,SHAH K DILBER AKBER NOHA KRY MAA😭😭😭😭😭😭.ARMAN BUHT THA MEIN TERI SHADI RACHAON IK ROZ DULHAN CHAND C MEIN BYAH K LAON PR LASH PE ROTI HA TERI KHOK JALI MAA,😭😭😭😭😭😭
armaan bahot tha main teri shaadi rachaoon
ek roz dulhan chand si mai byaah kay laaoon
par laash pe roti hai teri kokh jali maa
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
zindan thay tumhay dekh ke ab kaise jiyengay
socha tha tere byaah ki poshak siyengay
par tujh ko kafan bhi na mila haaye meri jaan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
roti hai phuphi jis nay tujhe laad say paala
tum kya gaye rukhsat huwa is ghar say ujaala
ek baap zayeefi may huwa be sar-o-samaan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
mar jaye jawaan laal agar door watan se
mahroom ho ghurbat kay sabab gor-o-kafan se
tadpaata hai is waqt may kya tangi-e-daamaa
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
abbas ka sadma bhi, abhi kam na huwa tha
aisay may meri jaan tera waqt-e-ajal aaya
tum margaye kuyn mar na gayi laal teri maa
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
bemaar behan takti hai beta tera rasta
pardes may aaye to raha yaad na waada
maqtal kiya aabaad madina kiya veeraan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
phirta hai meri aankh may ab tak wohi manzar
ay jaan-e-pider noor-e-nazar ay ali akbar
hamshakl-e-nabi kehte thay tum ko shah-e-zeeshan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
allah nigehbaan tumhara meray pyaaray
hum log rasan basta suye shaam sidhaare
sota hai teray saath yahin asghar-e-naadan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
pyaasay thay bahot pyaas ye kis tarah bujhaai
is chaand say sine pe sina zulm ki khaayi
tum sotay ho maa jaati hai beta suye zindaan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
rehaan ye kya khoob likha gham ka fasana
zehra ne tujhe bakhsha hai lafzon ka khazaana
le hogaya bakhshish ka teri hashr may samaan
shabih-e-payambar akbar, nauha kare maa
shaah ka dilbar..
One of the best nauha by Nadeem Sarwar.
Maula Aap ko Salamt rakhe
Masallah
Salaam ya hussain
Our childhood memories. One of best.
Likewise
Yes
Mashaallah
BEST NOHA IN THE WORLD
माशाल्लाह नदीम भाई 👍
Good
Bht purana bht acha noha
B
Ha bhai
Dard noha