राधे माँ बिग बॉस की सबसे महंगी कंटेस्टंट, एक हफ्ते की फीस 25 लाख, कॉन्ट्रोवर्सी होनी है, बिग बॉस 14

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 16 жов 2024
  • Aapko jankar hairani hogi ki iss show mei aane ke liye unko channel ki taraf se har hafte ek MBA Fresher ki lagbhag 5 saal ki kamai ke barabar paisa diya jayega.
    Humare isa video ko end tak zarur dekhen aur hum aapko batayenge Radhey maa se jude top 10 facts aur kya hai unki Big Boss ki fee. Toh chaliye..lets get started..
    Radhey maa ka janm Punhab mei Gurdaspur district ke Dorangala gaon mei hua tha. Unhone 4th class ke baad hi school.chor diya tha aur 17 saal ki umar mei Mohan Singh naam ke shakhs se shaadi kar li.thi. Iss shadi se unke 2 bachhe hue aur kuch saalon ke baad inke Pati kaam ke liye India se bahar chale gaye.
    Radhey Maa ek bahut hi samanya parivar se belong karti thin aur apne pati ke jane ke baad unhone tailor ka kaam shuru kiya.
    23 saal ki choti umar mei hi woh Hoshiyarpur mei 1008 Paramhans Bagh Dera Mukerian ke Mahant Ram Deen Das ki bhakt ban gayin. Mahant Das ne hi unhe Radhe Maa ka naam.bhi diya.
    Radhey Maa jinka asli naam Sukhvinder Kaur hai laal rang ko bahut pasand karti hain aur humesha laal rang ke kapdon mei hi nazar aati hain. Ye apne saath humesh ek chota trishul bhi rakhti hain.
    Unke bhakton ka manana hai ki woh Mata durga ka avatar hain aur unke samarthakon ki list mei Showman Subhash Ghai aur Bhojpuri abhineta Ravi Kishen jaise bade naam bhi shaamil hain. Radhey maa ke sabse kareebi bhakton mei Chhoti Maa aur Talli Baba ke naam aate hain. Jahan chhoti maa Radhey maa ke saath bhakton ko aashirwad deti hain wahin Talli baba unka calendar arrange karte hain.
    Radhey Maa Mumbai ke Borivali ilake mei wahan ke ek bade businessman Sanjeev Gupta ke ghar mei rehti hain. Ghar ka naam unke bhakton ne Radhey Maa Bhavan rakha hai aur Sanjeev Gupta.Shri Radhe Guru Maa Charitable Trust ke managing trustee bhi hain.

КОМЕНТАРІ •