Gham-e-ashiqi se Kah do rah-e-am tak na paunch | Urdu Ghazal | Urdu Poetry | Andaz e Bayan Poetry

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 17 жов 2024
  • Poet Shakeel Badayuni
    Voice Ch Nabeel Ahmed
    Andaaz-E-Bayaan Poetry
    This channel is especially made for poetry and information.
    Please subscribe this channel and get best collection of poetry and information.
    Here you can get the collection of sad poetry, 2 line poetry, 4 line poetry, Urdu ghazal, Sad Shayari, Romantic Shayari Information videos, Quotes, Islamic quotes, and much more.
    ġham-e-āshiqī se kah do rah-e-ām tak na pahuñche
    mujhe ḳhauf hai ye tohmat tire naam tak na pahuñche
    maiñ nazar se pī rahā thā to ye dil ne bad-duā dī
    tirā haath zindagī bhar kabhī jaam tak na pahuñche
    vo navā-e-muzmahil kyā na ho jis meñ dil kī dhaḌkan
    vo sadā-e-ahl-e-dil kyā jo avaam tak na pahuñche
    mire tā.ir-e-nafas ko nahīñ bāġhbāñ se ranjish
    mile ghar meñ āb-o-dāna to ye daam tak na pahuñche
    na.ī sub.h par nazar hai magar aah ye bhī Dar hai
    ye sahar bhī rafta rafta kahīñ shaam tak na pahuñche
    ye adā-e-be-niyāzī tujhe bevafā mubārak
    magar aisī be-ruḳhī kyā ki salām tak na pahuñche
    jo naqāb-e-ruḳh uThā dī to ye qaid bhī lagā dī
    uThe har nigāh lekin koī baam tak na pahuñche
    unheñ apne dil kī ḳhabreñ mire dil se mil rahī haiñ
    maiñ jo un se ruuTh jā.ūñ to payām tak na pahuñche
    vahī ik ḳhamosh naġhma hai 'shakīl' jān-e-hastī
    jo zabān par na aa.e jo kalām tak na pahuñche
    #UrduPoetry #UrduGhazal #Andaaz_E_Bayaan

КОМЕНТАРІ • 43