Qisas ul Anbiya - Hazrat Ayub (a) ka Qissa - Story of Prophet Ayub in Urdu - IslamSearch

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 29 чер 2014
  • Allah Taala Ki Janib Se Shaitaan Iblees Ke Jarye Ayyub (Alaihay Salam) Ke Sabr Ki Aazmaish
    Ayyub (Alaihay Salam) Ke Sabr Ki Aazmaish Me Maal-o-Doulat Wa Bibwi Aur Aulaad Se Mehroom Hona
    Aazmaish Ke Baad Aap Hazart Ayyub (Alaihay Salam) Ke Sehatmand Hone Ki Kuch Muktalif Riwayate
    Ayyub (Alaihay Salam) Ki Aazmaish me Muslmano Ke Liye Ibrat
    Har Haal Me Sabr Aur Shukr Ada Kartey Rahe Apne Rab Ka
    Kya Shaitan Insano Ki Jaan-e-Maal Per Qudrat Rakhta Hai ?
    Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ka Taaaluq Ahle Rome Se Tha. Aap Ka Sazra Nasab Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Se Hote Huve Hazrat Ibrahim A(Alaihay Salam) Se Ja Milta Hai. Aap Ke Waalid Ka Naam Al Ayeesh Tha Jo Ki Unn Khush Naseeb Logo Me Se Eik Hai Jo Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Par Uss Din Imaan Laaye , Jis Din Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Aag Me Daala Gaya Tha. Aur Allah Taala Ke Huqum Se Wo Aag Gulzaar (Thandi) Ho Gayee Thi.
    Aur Aap Ki Waalda (Maa) Hazrat Looth (Alaihay Salam) Ki Beti Thi. Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Biwi (Wife) , Jinhone Aap Ka Shadeed Bimaari Ki Haalat Me Bhi Saath Na Chhodha. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Beti Thi Jo Ki Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Paheli Biwi ”Liyaa” Ke Batan Se Paida Huyee Thi. Ya Un Ka Ta aalluq Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Nasal Se Tha (Allah-Hu-Aalam)
    Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Bahut Maaldar The, Aap Ki (4) Biwiya Aur Bahut Si Aulaade (Bete-Betiya) Thi. Maal Maveshi (Jaanwar), Aur Gulaam Bhi Bahut Sare The, Aap Ki Malkiyat (Jayedaad) Me Sirzameen-e-Huraan Ke Silyaa Ilaaqe Me Bahut Sari Zameen Aur Bahut Badi Khetiya Thi. Allah Taala Ne Aap Ko Apni Har Nemato Se Nawaaza Tha.
    Aap Allah Taala Ke Ibaadat Guzaar, Sabar Karne Wale Aur Allah Taala Ki Nemato Ka Shuqr Adaa Karne Wale Nek Aur Saleh Bande Aur Paigamber Hai, Aap Ne Apni Aazmayeesh, Dukh Dard Aur Taqleef Me Jo Sabar Kiya Aur Shiqaayat Ka Eik Lafz Bhi Apni Zubaan Par Na Laaye, Uski Misaal Aaj Bhi Duniya Me (Sabar-e-Ayyub Alaihay Salam) Ke Naam Se Di Jaati Hai .
    Riwaayato Me Hai Ki Allah Taala ! Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki In Hi Khubiyo Ki Wazaah Se Aap Ka Ziqr Farishto Se Farmata Aur Aap Par Fakhar Karta Ki “Eik Mera Banda (Ayyub) Hai Jo Ki Har Waqt Mera Ziqr Karta Hai, Meri Ibaadat Karta Hai, Aur Meri Ataa Ki Huyee Nemato Ka Uthhte Baithhte Sote Jaagte Har Waqt Shuqr Adaa Karat Hai.”
    Shaitaan Iblees Ko Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Ye Taarif Bardast Na Huyee, Uss Ne Arz Kiya “Aye Mere Rab ! Iss Me Ayyub (Alaihay Salam) Ka Kamaal Kya Hai ? Tu Ne Usey Itni Sari Nemate (Zameen, Jayedaad, Maal, Maveshi) Ataa Ki Hai. Uss Ki Jagaah Tu Ne Kisi Aur Bande Ko Bhi Itni Hi Nemate At aa Ki Hoti Toh Woh Banda Bhi Tera Itna Hi Ibaadat Guzaar Aur Shuqr Guzaar Hota”.
    ♥ Allah Taala Ne Farmaya Ja Tujhe Ikhtiyaar Diya Ki, Tu Uss Mere Maheboob Bande Ko Uss Ki Tamam Zameen, Jaayedad, Maal, Maveshi Se Maheroom Kar De, Aur Fir Dekh Ki Mera Maheboob Banda Sabar Karta Hai Ya Nahi ?”
    Shaitaan Iblees Ne Aisa Harba (Fareb, Makar) Istemaal Kiya Ki Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Tamam Zameen, Jaayedaad, Maal, Maveshi Sab Kuch Khatm Ho Gaya. Lekin Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Apni Zubaan Par Shiqaayat Ka Eik Harf Tak Na Laaye. Aur Pahele Ki Tarha Hi Allah Taala Ki Ibaadat Aur Shuqrguzaari Adaa Karte Rahe .
    Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Se Maal-O-Daulat , Zameen-O- Jaayedaad Chheen Jaane Ke Baad Bhi Aap Allah Taala Ka Ziqr Karte Rahe, Sabar Aur Shuqr Adaa Karte Rahe. Allah Taala Ne Fir Aap Ka Ziqr Farishto Se Farmaaya Aur Aap Par Fakhar Kiya.
    Shaitaan Iblees Ne Arz Kiya “Aye Mere Rab ! Iss Me Ayyub (Alaihay Salam) Ka Kamaal Kya Hai ? Ke Tu Uss Par Fakhar Kare. Tu Ne Usey Itni Biwiya Aur Aulaade Ataa Ki Hai. Jin Se Unhe Taqwiyat (Taaqat) Milti Hai Tera Ziqar Aur Shuqar Adaa Karne Ki. Itni Biwiya Aur Aulaade Tu Kisi Aur Bande Ko Deta Toh Woh Bhi Tera Ziqr Aur Shuqr Adaa Karta”.
    Allah Taala Ne Farmaya “Ja Tujhe Ikhtiyaar Diya, Ayyub (Alaihay Salam) Ko Un Ki Aal-Aaulaad Se Maheroom Kar De (Chheen Le) Aur Fir Dekh Mera Maheboob Banda Kya Karta Hai ?
    Shaitaan Iblees Ne Unke Aulaado Par Kahar (Bijli) Gira Diya Aur Un Ki Tamaam Aulaade Faut (Khatm, Jaan Bahek) Ho Gayee Ya Maut Ke Ghaat Utaar Di Gayee. Aur Halaat Bad Se Badtar Ho Gaye Aur Faanke Karne Ki Naubat Aa Gayee Toh Aap Ki Teen Biwiya Bhi Aap Ka Saath Chhodh Gayee Siwaaye Eik Biwi Ke Jo Ki Aap Ki Khidmat Karti Rahi . Itna Sab Kuch Ho Jaane Ke Baavojood Bhi Aap Ne Sabar Ka Daaman Na Chhodha Aur Allah Taala Ka Raat Din Ziqr Aur Shuqr Adaa Karte Rahe .
    #QuranicStories #QuraniQissa #IslamicStory #IslamiKahani #QuranicStory #IslamiWaqia #ProphetStory #UrduIslamicKahani #IslamicStoriesinUrdu #QisasulAnbiya #AnbiyakiKahani #AnbiyakaQissa #AmbiyaKahani #AmbiyaQissa #QuranQissa #QuranStory #HazratAyubStory #hazratAyub #AyubWaqia #AyubQissa, #QissaHazratAyub #StoryProphetAyub #StoryIslam #IslamStory #HazratAyubStory #HazratAyubWaqia #HazratAyubQissa #QissaIslam #QisasulAmbiya #AmbiyakaQissa #HazratAyub #ProphetAyub #ProphetAyubStory #StoryAyubIbrahim #HazratAyubQissa #HazratAyubWaqia #HazratAyubStory

КОМЕНТАРІ • 336