Ya Hussain Ya Hussain Urdu Farsi Noha | Raza Abedi & Moosa Abedi | AnjumanAl Abbas Official

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 16 жов 2024
  • NOHA: YA HUSSAIN YA HUSSAIN
    RECITER: RAZA ABEDI & MOOSA ABEDI
    POET: ALAMDAR RAZVI & SAJJAD NAZAR (URDU)
    RAZA AKHTARI (FARSI)
    FOR ALL OUR LATEST UPDATES PLEASE SUBSCRIBE ANJUMAN AL ABBAS OFFICIAL UA-cam CHANNEL BY CLICKING THE BELOW LINK / anjumanalabbasofficial
    #YaHussainYaHusain
    #UrduFarsiNoha
    #anjumanalabbas
    #alabbas
    #anjumanealabbas
    #Suscribe

КОМЕНТАРІ • 5

  • @sameenaraza2031
    @sameenaraza2031 2 місяці тому

    Ya Hussain Ya Hussain Ya
    Hussain
    seh ke har ranj o bala tune shikwa na kiya tujh sa sabir na huwa ya hussain ya hussain ya hussain
    1. ran mein jab mare gaye zainab e muztar ke pisar dekh kar lashon ko yeh kehti thi binte hyder karti hoon shukr-e-khuda aur yeh hai meri dua bhai bach jaye mera
    .2.qatl abbas huwe toot gayi teri kamar aur tanhayi ka shidat se huwa dil pa asar aayi ran se jo sada tune alaan kaha aye imam-e-do sara..
    3.ran se awaaz jab ayi hai ali akber ki youn laga jaise tere dil pa lagi hai barchi noor ankhon ka gaya soojta kuch bhi na tha kaise laasha utha
    4. teer asghar ke gale se jo nikala tune haye kis dil se bhala dil ko sambhala tune khoon chullu mein liya aur chehre pa mala surkhuru deen huwa....
    5.deen par waqt jab aya paye nusrath nikli ran mein quran-e-shahadat ki har aayat nikli tera ghar baar luta koi baqi na bacha milgayi deen ko baqa
    6. tune ashoor ko bachoun ka kiya hai matam kaun batlayega jo tha tere dil ka aalam aye shahinshah huda dekh kar haal tera roti hain karbobala
    7. na koi monis-o-yawar hai na koi hamdam kufa-o-shaam ki rahoun mein hain be parda haram koi baaçi na raha karne imdaad zara kaun ayega bhala
    8.qatl par tere basas naala-o- afghan ayi khoon mein doobi huwi shaam-e-ghareeban ayi maal-o-asbab luta tera ghar jalta raha roti hai aal-e-aba
    9. baad tere yahi zainab ne manazir dekhe baazu rasi mein bandhe pusht pa dure bhi lage har sitam dhaya gaya taaziyane bhi laga chin gayi sar se rida
    12. qalb-e-zaianb ne is ehsaas ko nashtar jaana haye jab umme habiba ne nahi pehchana haal zainab ka yeh tha gham se dil baith gaya dil se nikli yeh sada
    13. aayi darbar mein jab aale rasool-e-dosara saat sou kursi nasheeno sed tha darbar bhara daaqela jab ke huwa kya sitam tooth gaya ek qayamat thi bapa
    14. tere lab haye mubarak pa thi zalim ki chadi haye kis dil se bahan ne yeh aziyat dekhi band ankoun ko kiya jab ke yeh zulm huwa hil gayi arz-o-sama
    15. be sabab khaye sakina ne tamache itne phool se hogaye rukhsar bhi neele neele tune aye shahe huda - noke naize se bhala yeh bhi dekha hoga

  • @AbiharaniJaan
    @AbiharaniJaan Рік тому

    Best noha ever

  • @syedasghar6028
    @syedasghar6028 4 роки тому

    Mash Allah raza mama /moosa bhaiya

  • @saniyafatimakhan2150
    @saniyafatimakhan2150 4 роки тому

    Masha Allah ✨

  • @fashminish
    @fashminish Рік тому

    Mashallah. Farsi lyrics pls🙏