sunai kisne yeh zindan me lori -Farzad Moosvi AZH Shab e Dari

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 19 лис 2024
  • sunai kisne yeh zindan me lori -Farzad Moosvi at AZH Shab e Dari MD
    khudara zor se bolay na koi sakina so rahi hai
    sunayi kisne ye zindan may lori sakina so rahi hai
    kaha bano ne utho shehzadi
    hui kya baat kyou madar se roothi
    utho baba ka sar aaya hai bibi
    magar zindan ki har dewaar boli
    sakina so rahi hai
    tumhare goshware mil gaye hai
    dare zindan saare khul gaye hai
    rehaai mil gayi jaati hoo ghar ko
    magar sajjad ki awaaz aayi
    sakina so rahi hai
    hue jab sham ke saaye bhi gehre
    parinde cheh-chahate jaa rahe thay
    kaha bano ne ay udhte parindo
    sadayein rokh lo kuch dayr apni
    sakina so rahi hai
    na ab maarega koi bhi tamachay
    na honge phir se ye ruqsaar neele
    gala baandha na jayega rasan may
    jo aaya shimr to ussay kahoongi
    sakina so rahi hai
    rida choti si ek sar par udhadoo
    chalo abbas se tumko miladoo
    tumhari mashk hai aur unka seena
    jo dekhe aasman kehta hai wo bhi
    sakina so rahi hai
    rasan ka zakhm ashkon se dhuladoo
    tere baalon se ye mitti chudadoo
    tere talwo ke chaalon ki dawa doo
    ajal boli ke ye kaise chalegi
    sakina so rahi hai
    andhera roya sannate se mil kar
    falak girne laga dharti ke upar
    hilaane par bhi jab bachi na jaagi
    to boli ye fizaon ki khamoshi
    sakina so rahi hai
    banane qabr jab sajjad uthay
    to wo nade ali dohra rahe thay
    bandhe hathon se chaha qabr khoday
    achanak paon ki zanjeer chalki
    sakina so rahi hai
    adab ki ja hai ye rehaan dekho
    buland awaaz se hargiz na bolo
    yahan to fateha bhi dheere padna
    yahan awaaz hojaye na oonchi
    sakina so rahi hai

КОМЕНТАРІ • 5