Це відео не доступне.
Перепрошуємо.

marsiya by Syed Ali Ausat Zaidi

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 22 лис 2010
  • "KHUDA PADAR KO NA DIKHLAAE MARG E RAHAT E JAAN"
    Marsiya by SYED ALI AUSAT ZAIDI

КОМЕНТАРІ • 47

  • @master-changingschools4053
    @master-changingschools4053 24 дні тому +1

    khuda pidar ko na dikhlaye marg-e-rahat-e-jaan
    kalayja zakhmi ho jab dil ko phir kharaar kahan
    udhar to seena-e-akber se guzri nok-e-sina
    lahoo idhar huwa chashme imaam-e-deen se rawan
    tadap ke jaanib-e-gardoon nigaah ki sheh ne
    zameen hil gayi ek aisi aah ki sheh ne
    pukaarte huwe daude mere shaheed pisar
    mere jawan mere maeroo mere saeed pisar
    mere haseen mere yousuf mere rasheed pisar
    qareeb ho kahin maidan se ba'eed pisar
    pidar pa aaj nayi waredaat hai beta
    khabar nahi mujhe din hai ke raat hai beta
    kidhar gaye mere gul payrahan ali akbar
    mere khaleekh mere kam sukhan ali akbar
    jawana marg ghareeb-ul-watan ali akbar
    ujaad kar gaye mera chaman ali akbar
    bula ke ghar se yahan ashqiyan ne loot liya
    duhaai hai ke mujhe karbala ne loot liya
    pukaari dewdi se bano pisar mila ke nahi
    batao marham-e-zakhm-e-jigar mila ke nahi
    sitam ke abr may mera qamar mila ke nahi
    ali ke laal wo aali gowhar mila ke nahi
    shataab lao mere mannataon ke paale ko
    tumhi se loongi mai apne muraadon ke paale ko
    sada ye sunte hi sultan-e-behrobar daude
    ye dard-e-dil tha ke thaame huwe jigar daude
    kabhi to fauj pa manind-e-sher-e-nar daude
    kabhi udhar gaye rote kabhi idhar daude
    luti hui wo kamayi basad talaash mili
    zameen pa khoon may ghaltaan pisar ki laash mili
    ajeeb haalat-e-farzand-e-naujawan dekhi
    atash se honton pa nikli hui zabaan dekhi
    qamar se chehre pa zardi labon pa jaan dekhi
    kaleja phat gaya seene may jab sina dekhi
    pidar ke saamne bete ka dam ukhadta tha
    hussain dekhte thay aur ghar ujadta tha
    khareeb laash-e-pisar baith ke ye farmaye
    zameen-e-garm se beta utho ke ham aaye
    sada ye sunte hi akbar ne haath phailaaye
    lipat ke laash se shah lab pa ye suqan aaye
    gale lagaalo ke mohamad ka mai nawasa hoon
    zaban dikha ke kaha ya hussain pyasa hoon

  • @ziakarrar1770
    @ziakarrar1770 2 роки тому +5

    مولا جناب علی اوسط صاحب اور سید ظفر حسنین زیدی صاحب کے درجات مقام فردوس میں بلند فرمائیں.امین

  • @husainmehdi8496
    @husainmehdi8496 2 місяці тому

    YA ALLAH SHAHEEDO KI FAMILY AUR QUAM KO SABRE JAMEEL ATAA KR , ZAALIM KO JALDI SE NISTO NABOOD KR DE HUM SB KO TERI AUR AHLE BAIT A.S. KI MAARFAT AUR QURBATT HAASIL HO
    YA ALLAH PAAKPARVARDIGAAR BIBI ZEHRA S.A. KE SADQE ME SABHI AZAADAARO KO BIMARI o BALA SE NIJAAT AUR HIFAAZAT KR,TAMAAM MERHOOMEEN KO SHIFAAT E MASOOMEEN A.S. NASEEB HO . TAMAAM AHLE IMAAN KO DUNIYA AUR AKHERAT KI AAFIYAT NASEEB HO AMIN...

  • @user-jk8yv5sc6x
    @user-jk8yv5sc6x 25 днів тому

    Haye Haye 😭😭😭😭😭

  • @Multi8819
    @Multi8819 10 років тому +5

    mashaALLAH Incholi ka moharram yaad agaya PANJTAN inki jannat main apne saat jagah inayat farmaye

  • @user-gk9jd8rz7v
    @user-gk9jd8rz7v 6 місяців тому

    Boht khoob geo

  • @husainmehdi8496
    @husainmehdi8496 2 місяці тому

    YA ALLAH PAAKPARVARDIGAAR BIBI ZEHRA S.A. KE SADQE ME SABHI AZAADAARO KO BIMARI o BALA SE NIJAAT AUR HIFAAZAT KR,TAMAAM MERHOOMEEN KO SHIFAAT E MASOOMEEN A.S. NASEEB HO . TAMAAM AHLE IMAAN KO DUNIYA AUR AKHERAT KI AAFIYAT NASEEB HO AMIN....

  • @alimohdify
    @alimohdify 8 років тому +4

    subhanallha

  • @khanzafarhy
    @khanzafarhy 12 років тому +3

    Khuda padar ko na dikhlay marg e rahat e jaan

  • @faheemn786
    @faheemn786 12 років тому +4

    Jazakallah. Allah Marhoom ke darjaat buland karey.

    • @alimohdify
      @alimohdify 7 років тому +3

      massallha molla darjat buland kare

  • @syedhasanbasit
    @syedhasanbasit 13 років тому +2

    kya bat ha wa wa mola salamat raky tum koo

  • @tarannumfatima2851
    @tarannumfatima2851 Рік тому

    Mein Yay Masiyay Sun kar Nishtar Park ki Yad Taza karti hoon Jab Ali Osat Sahab WahanSoz khani kartay Thay

  • @ghulamabbas2800
    @ghulamabbas2800 7 років тому +4

    masha Allah. Maula darjat baland kare.

    • @husainmehdi8496
      @husainmehdi8496 2 місяці тому

      YA ALLAH SHAHEEDO KI FAMILY AUR QUAM KO SABRE JAMEEL ATAA KR , ZAALIM KO JALDI SE NISTO NABOOD KR DE HUM SB KO TERI AUR AHLE BAIT A.S. KI MAARFAT AUR QURBATT HAASIL HO
      YA ALLAH PAAKPARVARDIGAAR BIBI ZEHRA S.A. KE SADQE ME SABHI AZAADAARO KO BIMARI o BALA SE NIJAAT AUR HIFAAZAT KR,TAMAAM MERHOOMEEN KO SHIFAAT E MASOOMEEN A.S. NASEEB HO . TAMAAM AHLE IMAAN KO DUNIYA AUR AKHERAT KI AAFIYAT NASEEB HO AMIN...

  • @muzaffarzaidi8873
    @muzaffarzaidi8873 3 роки тому +1

    Allah Tala in ka Darjaat ko Buland farmay Ellahi Ameen

  • @muzaffarzaidi8873
    @muzaffarzaidi8873 3 роки тому +1

    JAzakAllah

  • @mushtaqhussain4825
    @mushtaqhussain4825 Рік тому

    Mashallah mola durjat buland furmay bhut umda juzaqallah

  • @ScorpionKazim
    @ScorpionKazim 5 років тому +1

    Wa Hussaina!

  • @szehrazaidi1031
    @szehrazaidi1031 2 роки тому +1

    Jazakallah

  • @AsadZaidiIndia
    @AsadZaidiIndia 7 років тому +3

    Zabardast!!

  • @voanmsnews2012
    @voanmsnews2012 Рік тому

    MaashaALLAH Buhut Xabardast JazakalALLAH
    Salamat Rahen
    From VOANMS-NEWS

  • @farhatabbas315
    @farhatabbas315 Рік тому

    Mashallah jazakallah

  • @minhalraza110
    @minhalraza110  12 років тому +2

    ameen

  • @minhalraza110
    @minhalraza110  13 років тому +4

    allah tala magfirat faramae aur darjaat buland kare

  • @minhalraza110
    @minhalraza110  10 років тому +2

    Ameeen!

  • @smhasan2
    @smhasan2 6 років тому

    Masha Allah

  • @qadimiazadari
    @qadimiazadari Рік тому

    😭😭😭😭

  • @alimohdify
    @alimohdify 3 роки тому +1

    Molla buland maqam ata kare

  • @redhoodiepro8173
    @redhoodiepro8173 Рік тому

    M

  • @minhalraza110
    @minhalraza110  13 років тому +3

    walekum assalam!
    i would inshallah email u in some days

  • @AbulHasanLakhani
    @AbulHasanLakhani 8 років тому +5

    Can you please post full lyrics of this marsiya? Sound quality is not too good to understand this beautiful marsiya. Thanks

    • @syednaqvi4005
      @syednaqvi4005 6 років тому

      Abul Hasan Lakhani
      Apko lyrics mil gaey hn es Marsiya k?

    • @alimehdi6594
      @alimehdi6594 3 роки тому +5

      khuda pidar ko na dikhlaye marg-e-rahat-e-jaan
      kalayja zakhmi ho jab dil ko phir kharaar kahan
      udhar to seena-e-akber se guzri nok-e-sina
      lahoo idhar huwa chashme imaam-e-deen se rawan
      tadap ke jaanib-e-gardoon nigaah ki sheh ne
      zameen hil gayi ek aisi aah ki sheh ne
      pukaarte huwe daude mere shaheed pisar
      mere jawan mere maeroo mere saeed pisar
      mere haseen mere yousuf mere rasheed pisar
      qareeb ho kahin maidan se ba'eed pisar
      pidar pa aaj nayi waredaat hai beta
      khabar nahi mujhe din hai ke raat hai beta
      kidhar gaye mere gul payrahan ali akbar
      mere khaleekh mere kam sukhan ali akbar
      jawana marg ghareeb-ul-watan ali akbar
      ujaad kar gaye mera chaman ali akbar
      bula ke ghar se yahan ashqiyan ne loot liya
      duhaai hai ke mujhe karbala ne loot liya
      pukaari dewdi se bano pisar mila ke nahi
      batao marham-e-zakhm-e-jigar mila ke nahi
      sitam ke abr may mera qamar mila ke nahi
      ali ke laal wo aali gowhar mila ke nahi
      shataab lao mere mannataon ke paale ko
      tumhi se loongi mai apne muraadon ke paale ko
      sada ye sunte hi sultan-e-behrobar daude
      ye dard-e-dil tha ke thaame huwe jigar daude
      kabhi to fauj pa manind-e-sher-e-nar daude
      kabhi udhar gaye rote kabhi idhar daude
      luti hui wo kamayi basad talaash mili
      zameen pa khoon may ghaltaan pisar ki laash mili
      ajeeb haalat-e-farzand-e-naujawan dekhi
      atash se honton pa nikli hui zabaan dekhi
      qamar se chehre pa zardi labon pa jaan dekhi
      kaleja phat gaya seene may jab sina dekhi
      pidar ke saamne bete ka dam ukhadta tha
      hussain dekhte thay aur ghar ujadta tha
      khareeb laash-e-pisar baith ke ye farmaye
      zameen-e-garm se beta utho ke ham aaye
      sada ye sunte hi akbar ne haath phailaaye
      lipat ke laash se shah lab pa ye suqan aaye
      gale lagaalo ke mohamad ka mai nawasa hoon
      zaban dikha ke kaha ya hussain pyasa hoon

    • @AbulHasanLakhani
      @AbulHasanLakhani 3 роки тому

      @@alimehdi6594 thanks bhai 👍

    • @aoun2354
      @aoun2354 Рік тому

      تڑپ کے کہتے تھے جب ہائے نو جواں فرزند
      صدائے گریۂ زہرا تھی کربلا میں بلند
      فلک لرزتا تھا روتے تھے سب چرند و پرند
      غضب کی جا ہے کہ ہنستی تھی فوجِ ظلم پسند
      قلق سے شاہ کو ہر گام پر غش آتا تھا
      کوئی نہ لاشِ پسر کا پتا بتاتا تھا

    • @Farhan_rizvi
      @Farhan_rizvi Місяць тому

      Salam Bhai ye pura nhi hai
      Aagr pura marsiya hai apke pass to please dedije​@@alimehdi6594

  • @noorrizvi8305
    @noorrizvi8305 2 роки тому

    Plzzz add lyrics

  • @minhalraza110
    @minhalraza110  10 років тому +2

    Ameeen!

  • @alimehdi6594
    @alimehdi6594 3 роки тому