dishonoured memo of cheque | cheque per kitni memo lagwana zarooi hai | how many memos r required

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 14 жов 2024

КОМЕНТАРІ • 15

  • @AaqibnadeemKhan
    @AaqibnadeemKhan 7 днів тому

    Sir bank waly check pr memo nhi laga k den tu kia krna chye kaisy meno lgwayen

    • @pakistanlegalrightsmovemen4687
      @pakistanlegalrightsmovemen4687  7 днів тому

      Aaj kal bank walai direct memo laganai main kuch tangh kartai hain. Lakin aap apnai account main cheque jama karwa ker memo laqwa saktai hain

  • @noumanmeo519
    @noumanmeo519 3 місяці тому

    Memo lga kr civil case for return money k decision m kitny time ma decision ho jata hy?

    • @pakistanlegalrightsmovemen4687
      @pakistanlegalrightsmovemen4687  3 місяці тому

      Yeh order 37 rule 1,2 Cpc ke tahat aik special suit district court/ session court main file hota hai Jo aik summary suit hota is ka faisal bohat jald hota hai mere khial se is ka faisal 6 months se 1 sal ke ander ho jana chahia.

    • @noumanmeo519
      @noumanmeo519 3 місяці тому

      Ok app ka contact number kia hy?

  • @muhammadsafdarazeem8308
    @muhammadsafdarazeem8308 Місяць тому

    Sir G 6month sa ziyada time guzer giya ha check ko ab bank la gaye hain ab memo ni lga kr da rahy,,, check ka oper signature wrong hain ab kia krein??memo is sorat lag jaye gi ya ni time 9month guzar gaye

    • @pakistanlegalrightsmovemen4687
      @pakistanlegalrightsmovemen4687  Місяць тому

      6 months ke bad yeh bank ki marzi hoti hai ke wo memo lagai ya na lagai. Bank ko force nahi kia ja sakta. Aur aam tor per 6 months bad bank memo nahi lagatai hain. Is lia ab aap ke check per memo nahi lag sakti. Aur jab memo nahi lagai gi to FIR bi nahi ho sakt aur na hi district court main order 37CPC ka suit file ho Sakta hai. Lakin aap is cheque ko aik supporting evidence bna kar civil court main ordinary civil suit file kar saktai hain. Jo civil judge ki court main chala ga. AB aap ki yahi aik legal remedy hai.

  • @muhammadsafdarazeem8308
    @muhammadsafdarazeem8308 Місяць тому

    1 check per memo 5month baad lgwa li aur fir ni krai ab 9month ho gye hain kia ab FIR ho skti ya ni??

    • @pakistanlegalrightsmovemen4687
      @pakistanlegalrightsmovemen4687  Місяць тому

      Jab aik dafa 6 months ke Ander cheque per memo lag jai to phir kabi bi FIR ho sakti hai. Lakin FIR aisi surat main delay nahi Karni chahia kaynke is se doubts paida hotai hain aur FIR honai ke bad mulzam ko bail milnai ke chances ho katai hain

  • @muhammadsafdarazeem8308
    @muhammadsafdarazeem8308 Місяць тому

    Assalamualaikum Sir G check ki date guzer gai ha 8month ho gaye hain but deiny waly ka signature wrong hain uski fir ho skti??

    • @pakistanlegalrightsmovemen4687
      @pakistanlegalrightsmovemen4687  Місяць тому +1

      Agar memo lag gai hai to phir FIR ho sakti hai koi problem nahi hai. Ager signature galat Hoon to us per signature galat ki memo lagti hai. Aisa checqu jari Karna Jo cash na ho sakai ye jurm hai. Beshak wo amount na honai ki waja se ho ya Kisi AUR waja se. Cheque kai dishonour se jurm ka irkab ho jata hai. Beshak Kisi ke signature galat hain cheque to us ke account ka hai. FIR ho jai gi lakin memo 6 months ke Ander lagni chahia.

  • @chaudharywaseem-uc9bx
    @chaudharywaseem-uc9bx Місяць тому

    Sir chaque chori ka ho to kia ho sakta hei

    • @pakistanlegalrightsmovemen4687
      @pakistanlegalrightsmovemen4687  Місяць тому

      Ager check chori ho gaaya ho to fori us ki police main report karwain. Phir us ke bad us per koi karwai naho ho sakti hai.

  • @animaldiariesvlogs
    @animaldiariesvlogs 17 днів тому

    iss qanoon ka bohat zyada ghalat istamal ho raha he.