Shareek e Dawat e Islam hain Abu talib (Ali Rizvi)

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 2 січ 2025

КОМЕНТАРІ • 14

  • @hashkaz1699
    @hashkaz1699 2 роки тому +2

    Now this is called perfect recitation. Mola a.s sada aabad rakhen Masha'Allah

  • @syedsohailhaiderabidi2919
    @syedsohailhaiderabidi2919 3 місяці тому

    Masha Allah salamat raho Ali Baeta

  • @hvacgar2
    @hvacgar2 3 місяці тому

    My marhoom ziyarat friend Anjum bhai also in the crowd - surah e fatiha for him and Sachay bhai

  • @dr.syedmohdabbasrizvi2318
    @dr.syedmohdabbasrizvi2318 2 роки тому +3

    سبحان الله

  • @hussainbrothersnyofficial8403
    @hussainbrothersnyofficial8403 6 місяців тому

    Good job Ali Rizvi Sachay.

  • @osjaff4270
    @osjaff4270 2 роки тому +1

    Jeoo azadarooo

  • @truegamingandtechtruegamin6003

    👍👍👍

  • @jamalhaidernaqvi1910
    @jamalhaidernaqvi1910 2 роки тому +1

    ♥️Ya Ali

  • @mohammadtaqihussain6236
    @mohammadtaqihussain6236 7 місяців тому

    Lyrics: Shareek-e-dawat-e-Islam
    Shareek-e-dawat-e-Islam hay Aboo Talib
    1) Nabi ko haq ka aik inaam hay Aboo Talib
    Hari may wahi may ilham hay Aboo Talib
    Haram kay azum ka ehram hay Aboo Talib
    Yay chunkay laey jo ghuncha wo phool hojaey
    Phir inki god may pul kar Rasool hojaey
    2) Rasool-e-Rab kay nigehban hay Aboo Talib
    Nabi hay deen to eman hay Aboo Talib
    Nazool-e-wahi ka unwan hay Aboo Talib
    Baghair lufzo ka Quran hay Aboo Talib
    Inhi kay dum say huwi ibtida-e-bismillah
    Inhi nay nukta diya zair-e-ba-e-bismillah
    3) Payambari ki balao ka rud Aboo Talib
    Madad Khuda ki hay shakalay madad Aboo Talib
    Nabi ki dhaal damay jiddo kud Aboo Talib
    Nishana khutmay Rasul aur zud Aboo Talib
    Jihad inka hay pus munzar-e-jihad-e-Ali
    Ali hay baad may inkay yay pehlay Nad-e-Ali
    4) Kaha hay tongue nazar hum say bhi to aankh mila
    Hay inkay kufar ka dawa to kuch saboot bhi la
    Koee to rasum jihalut ki inkay ghar may dikha
    Buto kay aagey jhuka inka sur sur apna jhuka
    Khuda kay noor pay awkhak daalnay walay
    Yay but shikun ko hay godi may paalnay walay
    5) Rasool inka bara ehtiram kartay hay
    Sawab-e-deed say tunzeem-e-aam kartay hay
    Seher ko uthtay hi owwul yay kaam kartay hay
    Inhay namaz say pehlay salam kartay hay
    Nabi agar kisi kafir ko you salami hay
    To phir zaroor naboowut may koee khami hay
    6) Inhi kay ghar may hay khairul anam sullay ala
    Pisur Nabi ka hay Qaim maqam sullay ala
    Isay naseeb hay yay ehtiram sullay ala
    Kay inkay khurd hay saray Imam sullay ala
    Khata muaf ho yay bhi agar nahi momin
    To phir jahan may koee bashur nahi momin
    7) Na janchiyay yay rawayut na seerato kirdar
    Nabi kay aankh say ub inko daykhiyay ik bar
    Yay bargahay risalat may ap ka tha viqar
    Pacharay khakay inhay roway Ehmad-e-Mukhtar
    Wo aamay huzun bana inka jub visal huwa
    Yay ghum Rasool kay ummut may aik sal huwa
    8) Yay murnay wala gur eman hi na laya tha
    To kya Rasool nay kafir ka ghum manaya tha
    Zaba pay wa abata bar bar aya tha
    Wo khud bhi roway thay auro ko bhi rulaya tha
    Jata diya tha kay jo Mohsin-e-risalat hay
    To usko rona rulana Nabi ki sunnat hay
    9) Yay baat agar ho ijazut to poochloo mai yahi
    Hussain Ibn-e-Ali kya nahi thay Mohsin-e-Di
    Hum inko roway to phir kyoo ho koee chi bajabi
    Banay thay inka to naqa Rasool-e-Arsh-e-Nashi
    Hussain soway Shah-e-Mursali kay seenay pur
    Ghazub hay Shimar ka zanoo unhi kay seenay pur
    10) Baghoshay hosh kyoo jub halay Karbala suniyay
    Suna jo mayray tasawwur nay wo zara suniyay
    Bayan himmat-e-sabaro Shah-e-Huda suniyay
    Wo aati hay malakul maut ki sada suniyay
    Mila jo hukam kay sur say nikal janay Hussain
    Kaha kay sakht hay ya Rab yay imtihan-e-Hussain
    11) Laga hay zakhmay tabur beh raha hay sur say lahoo
    Bharay hay khoon may janay Rasool kay geysoo
    Kareeb jakay rakhoo dil pay kis turha kaboo
    Kay is lahoo may to hay Fatima kay dood ki boo
    Nida yay aaee kay aankhay to dal aankho may
    Kaha behen ka hay is dum khayal aankho may
    12) Nida yay aaee ki gurdun say khainch ja inki
    Kaha mai kya karoo gurdun pay chul rahi hay churi
    Churi pakur kay yay chillati hay koee bibi
    Na zibha kar mayray bachay ko mai dua doongi
    Jaha rawa tayray khunjur ki aab hay zalim
    Yay bosagahay risalat ma aab hay zalim

  • @waseemkadri3d
    @waseemkadri3d 2 роки тому

    Masha Allah khuda salamat rakhe!!

  • @najianaqvi3040
    @najianaqvi3040 2 роки тому

    Zabrdast❤❤❤❤