Arbaeen Noha 2023/1445 | Bain ul Haramain | Mohammad Ali Moshi | Chehlum Imam Hussain Noha 2023

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 4 жов 2024
  • New Nohay 2023 | Bain ul Haramain | Mohammad Ali Moshi Nohay I Arbaeen Nohay 2023/1445 | New Noha 2023 | Title Noha 2023
    #Bainulharamain #newnoha2023 #imamhussain #Arbaeen #arbaeenWalk #newnohay2023 #nohay2023 #molahussain #noha #mohmmadalimoshi #TitleNoha2023
    BISMILLAH - BAIN UL HARAMAIN
    Video Details -
    ▫️Reciter | Mohammad Ali Moshi Baltistani
    ▫️Poetry | Janab Nayaab Hallauri
    ▫️Audio | ODS
    ▫️Video | SRS Studio
    ▫️Video Edit | Turab Zaidi
    ▫️Video Outdoor | Haider Rizvi
    ▫️Creatives | The Focus Studio
    ▫️Chorus | Arif Baltistani , Mir Basharat &
    Ahmed Raza Nasiri
    Video Optimization - Samar Jafri
    🔸Join our Official WhatsApp group
    chat.whatsapp....
    🎗️ LIKE | SHARE | SUBSCRIBE 🎗️
    LYRICS:
    Kashki paa begire in seene zaani haa
    Pushte darbe sardaab
    Kaafaine abal Fazl tille zainabiye khaimagahe arbaab
    ( baynul haramain_o haram_e agham Hossein_o haram_e agham abalfazl) x2
    ( majnoon_e Hosseinam madyoon_e abalfazl ) x2
    Aye Bekafan Husain aye Shaahe Mashrakain
    Zehra ke aye ghareeb Zainab k dil ke chain
    Karne ko Arbaeen aaye hai'n Zaiyreen
    Har ek zuba'n pe hai Labbaika ya Husain.
    ( baynul haramain_o haram_e agham Hossein_o haram_e agham abalfazl) x2
    ( majnoon_e Hosseinam madyoon_e abalfazl ) x2
    Rabbe Hussain se karta tha mai Dua
    Chauthe Imam ka de de ke wasta
    Taqdeer se agar Chehlum ka ho safar
    karte hue mashee jaunga Karbala.
    ( baynul haramain_o haram_e agham Hossein_o haram_e agham abalfazl) x2
    ( majnoon_e Hosseinam madyoon_e abalfazl ) x2
    Aye Shah ke habeeb mujhko bhi anqareeb,
    Chehlum Husain ka ek baar ho naseeb
    Karte hai sab ke sab bas ek hi Dua
    Wo Nauhakhan ho'n Shayer ho'n ya khateeb
    ( baynul haramain_o haram_e agham Hossein_o haram_e agham abalfazl) x2
    ( majnoon_e Hosseinam madyoon_e abalfazl ) x2
    Paidal nikal chuke shahre Najaf se hum
    Jayenge Karbala ek sath ahle-gham
    Dil gham se choor hai chehre pe noor hai
    Aankho'n me ashk hai hatho'n me hai Alam
    ( baynul haramain_o haram_e agham Hossein_o haram_e agham abalfazl) x2
    ( majnoon_e Hosseinam madyoon_e abalfazl ) x2
    Dete hain ye sada Bimaare Karbala
    Tum par salam ho zawware Karbala
    Parcham ke saaye me badhte chale chalo
    Kamm ho na Zaiyro'n raftaare Karbala
    ( baynul haramain_o haram_e agham Hossein_o haram_e agham abalfazl) x2
    ( majnoon_e Hosseinam madyoon_e abalfazl ) x2
    Bhai ki laash par aati hai ek Bahen
    Khud ko ghaseet kar laati hai ek Bahen
    Ya Sahabuzz Zamaan ye hai wahi maqaam
    Jis jaa se qabr tak jaati hai ek Bahen
    ( baynul haramain_o haram_e agham Hossein_o haram_e agham abalfazl) x2
    ( majnoon_e Hosseinam madyoon_e abalfazl ) x2
    Aati hai qaid se hamsheer choot ke
    Taqdeer ne isey bheja hai loot ke
    Rota hai aasmaa'n hilti hai Karbala
    Roti hai ek Bahen yoo'n phoot phoot ke
    ( baynul haramain_o haram_e agham Hossein_o haram_e agham abalfazl) x2
    ( majnoon_e Hosseinam madyoon_e abalfazl ) x2
    Moshi ki hai yahi Nayab arzoo
    Zawware Shah ki khidmat ho roobaru
    Ya Sayyade Umam padh loo'n Namaze gham
    Ashko ki Chhao'n me kar kar ke mai wazoo
    Sunlo Sabhi Sael ki Sadaa, Ali Ali jaan
    Ya Faatahe Furaat
    ( baynul haramain_o haram_e agham Hossein_o haram_e agham abalfazl) x2
    ( majnoon_e Hosseinam madyoon_e abalfazl ) x2

КОМЕНТАРІ • 43