SXR | Woh aur Gazanfar | Prod. by @QAFILAH (Official Audio)
Вставка
- Опубліковано 9 лют 2025
- Song Credits :
Artist : SXR
Produced by : Qafilah
Mix & Master : SXR
Lyrics :
Verse : 1
Gazanfar ke dil pe chapa wo naqsh hai tu,
Gazanfar ki riyazi mai ek wo aur ek tu,
Gazanfar kitna dooba ghum ke Jheel mai,
Gazanfar karey teri sadaa justuju.
Gazanfar uskey peechai ek chataan ki tarah,
Gazanfar ki zindagi ugtai chaand ki tarah,
Gazanfar kyu hai dil malool Gazanfar,
Gazanfar apni hasratu pai qaabu kar.
Qaid mai tha uski aankhu mai wo ramz dikha,
Jaeb khali thi par ishq ki har jung bhi wo lada,
Roshan Qalb ko karey uski wo aek kiran,
Jaise Farz kiya Rab nai mujpai sehney sitam.
Gazanfar yaani mai Gazanfar yaani sher
Kalamband karu toh mujai satata hai yai vehm
Ye jo lafz itney likhey mainai geelai kaagazu pai
Tujh tak pohanchne mai karey na ab zara bhi ye deir.
Hook :
Mere chaley hue har ik Qadam par,
Likha har nishaan pe woh aur Gazanfar,
Pucho kya bacha hai is dil ke andar,
Bas likha milega woh aur Gazanfar.
Verse : 2
Rab ki Nyamatu mai karta tha shumaar usey,
Uskey peechey maine sab yaha bezaar kiye,
Mere dost jaaney jab bhi hota uska Zikar,
Saara din hai rehta zehan pai uska Dehar.
Dast-e-Saqi se piye toh hai sharab bhi halal,
Uski daen hai yai qala ismai mera nahi kamal,
Aur jab pucha gaya uss se uskey aashiqu ke baarey,
Un mai bhi hua Gazanfar aakhir mai shumaar.
Ashq Raanjhey ke banchukai sanam motiyu kai manand,
Aaj tera, kal hai mera, waqt badalta hai jaanam,
Teri yaadu kai marhalai sai khaufnak hai kya dozakh,
Tarasha hai khudko humnai kha ke tujse thokar.
Gham e Yaar, Gham e Shaam aur Gham e Jahaan,
Meri zindagi mai azmaishein sadaa,
Jab tak dakk na lai kafan ye merai chehrai ko,
Ye shikwe giley saarey hotey rahengey bayaan.
Hook :
Mere chaley hue har ik Qadam par,
Likha har nishaan pe woh aur Gazanfar,
Pucho kya bacha hai is dil ke andar,
Bas likha milega woh aur Gazanfar.