Happy Independence Day | क्या हम असल में स्वतंत्र हैं | 15 August |

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 11 жов 2024
  • Happy Independence Day | क्या हम असल में स्वतंत्र हैं | 15 August |#happyindependenceday
    #happyindependenceday
    #kyahamasalmeswatantrahain
    #15august
    Jai hind jaisa ki aap log janate hain ki aaj ke din hamara bharat desh aajad huaa tha aur ham es svtantrata ko bahut hi bhavya tarike se manate kyuni hame ye svtantrata un bharat mata ke veeron ki kurabaniyon se mila hai. ''bharata maa ke sheron ne sine me goli khai thi fir bhi ek ne 10 10 ko maut dikhai thi aur ham jite hain jis aajadi ke aanand me uske liye na jane kitane veeron ne apani jan gawai thi'' lekin hame ye bhi dhyan dena jaruri hai ki kya ham apne aap me asal mayane me svtantra hain. Nirbhya jaise hatyakand hamare desh me aay din ho rahe hain abhi hal hi ka kolakata ka mamala samane aaya hai aur uspar log virodh bhi Kara rahe hain lekin virodha kucha din chalega aur fir sant ho jayega ye mamala to social media me treand me chal raha hai to log ispar dhyan diye hain lekin hamare desh me yaise mamale lagbhag roj aate hain aur uspar koi dhyan nahi deta hai ham vastikata ko nahi thukara skate hain ham khud se yah sawal karake dekhe sakate hain ki hamare desh me ladakiyan apne aap ko Kitana surakakshit mahasus karati hai kya yahi swtantrata hai jisme ladakiyon ko apane ghar se bahar nikalane ke liye sochana padata ho darana padata ho. Apane Kam par jane me dar lagata ho.kya yahi svtantrata hai.ham dusre deshon se to swtantra ho chuke hain lekin apane aap me ham abhi bhi swatantra nahi hain.
    Desh me jabatak curption aur nrbhya hatyakand jaisi ghatanaye ghatati rhengi tabataka ham apane aap ko aasal mayane me swtantra nahi kah sakte.hame apani desh ki rajaniti ko sudharna hoga apane desh ki midia ko sudharna hoga hame apane aap ko sudharna hoga hamare desh ki rajaniti itani kharab ho chuki hai ki hamara desh ab dhire dhire fir usi purane sthiti ki taraf chala ja raha hai.hame fir usi swatantra sangram jaise dheshbhkto ki jarurat hai is desh ko fir se
    Sachchi deshabhaki ki jarurat hai.desh me jitane bhi atyachar curption ho rahe hai uske liye aawaj uthana hoga aur ye kam keval sarakar ka nahi hai ham bhi is desh ke deshwasi hain aur hamara bhi daitv banata hai ki ham es desh ko sahi disha me agrasar kare aur yah tabhi sambhav jab desh ka prtek nagarik apane apane dyitv ko samjhe aur uske liye puri schai aur imandari se kam kare. Aur yah hame khud apane aap se yah suru karana padega.kuki yadi ham khud imandari aur mehanat se apane karya ko karen to hamara desh tarakki ki or badhega.aur ham jis atamnirbhar bharat Ka sapana dekhate hain vah pura hoga."bharat maa ke sher the o jisane china udha me aakele bhagadad machaya tha ,veer saitan singh the o jisne mechaine gun ke samane bhi chaku se 60 dusmano ko mar giraya tha." hame fir mejor saitan singh jaise deshbhakti ki jarurt hai jinhone chin se udhdh ke duran mechaingun ke samane chaku se 60 chaineseon ko mar Diya hamare desh me log aparadhiyon ke khilaf gavahi Dene se katarate hain kunki unko lagata hai ham kyun Bina matalab ka kisi se dushmani liya jay aur aparadhiyon se apani pachan banakar apane aap ko bahut mahan samajhate hai.yahi manasikata hamare desh me crime ko badhava de raha hai.hame es mansikata ko badalna hoga.hame apni jan ki baji lagakar bhi deshdrohi aur criminalon ko desh se mitana hoga tab jakar hamara desh asala mayane me aajad kahalayega jabatak es desh me log kisi na kisi se darate rahegen tabataka hamara desh aajad nahi hai.hame es mansikata ko badalkar Galt ke prati aawaj uthana padega aur ye suruaat hame khud se karni hogi.yadi ham apane jagah par sahi rahenge tabhi kanun ki raksha karane wale agar hamare sath galat karenge to ham aawaj utha sakte hai.
    Aaj ke es Pawan din par ham sabko apane desh ke prati sachi deshabhakti aur samarpan ka pran Lena hoga

КОМЕНТАРІ •