Sachey Bhai ke nauhe may kitni riqqat thi .Kua ghazab ke masaib hain aur kya sahi waqt ka presentation hai.Allah Sachey Bhai ki manzelat jannat may aur buland kare.Aisa nauha and masaib rare hain.
sachay bhai KABSE BECHAIN HU SURAT TOH DIKHA DO MUJHKO JAB SHAM KE ZINDAN ME KOHRAM BAPAA BAIN SE BALI SAKINA KE LARAZTI HAI FIZA sard hai saara badan zard hai gamse chehra aah karti hai toh hil jaata hai zindaa saara khaab se chaukhke uth baithi hai roti roti apne seene se lagaaye hue baithi hai phuphi roke kehti hai ke baba mere paas aae the phuphi amma woh yahi paas mere baithe the mujhse kehte the mera dil nahi lagta beti aaja ab aaja meri gaud me aaja beti kabse bechain hu surat toh dikha do mujhko phuphi amma mere baba se mila do mujhko woh yahi hoge kahi aap zara de to sada kahiye unse meri jaanib se ke beti ho fida dur hi se zara aawaz suna do mujhko gumse fat jaega beti ka kaleja baba baksh do mujhko agar ki ho koi maine khata hu sazawaar par itni na saza do mujhko shukr allah ka mushkil hui aasaan meri kat gae kaid ke din aa gayi rukhsat ki ghadi ab safar khair se guzre yeh dua do mujhko hai khushi ki yeh ghadi ankh na kijye purnam aapko deti hu mai auno muhammad ki kasam muskurate hue jaane ki razaa do mujhko band aankhe hui jaati hai meri dekhe zaraa loriyaan deti haimujhko koi maanus sada nind aati hai phuphijaan sula do mujhko maangye ab na duaaen mere jeene ke liye dekhiye aa gaye baba mujhe lene ke liye kibla ruh karke fufijaan lita do mujhko haye taqdeer ki markar bhi rahi zinda me kabr bhi paayi toh bachi ne wahi zinda me kya khata ki thi sakina ne bat do mujhko
Sachey Bhai ke nauhe may kitni riqqat thi .Kua ghazab ke masaib hain aur kya sahi waqt ka presentation hai.Allah Sachey Bhai ki manzelat jannat may aur buland kare.Aisa nauha and masaib rare hain.
RabbeHusain aapke darajat baland kare yaqinan baroze hashr bb Zahra sa ka aap per khususi karam hoga aor aapka shumar aaqa k khaas nauhagaro me hoga
Kab se bechsin hun surat to dikha di mujhko.Kkmya hasrat thi jo pury na hui aur Qaid khane may hi dafn hui.
Hai Mazlooma Masooma Bint e Aba Abdallah Aqa o Mola Hussain ibn Ali Allehey Salawat o Salam
sachay bhai KABSE BECHAIN HU SURAT TOH DIKHA DO MUJHKO
JAB SHAM KE ZINDAN ME KOHRAM BAPAA
BAIN SE BALI SAKINA KE LARAZTI HAI FIZA
sard hai saara badan zard hai gamse chehra
aah karti hai toh hil jaata hai zindaa saara
khaab se chaukhke uth baithi hai roti roti
apne seene se lagaaye hue baithi hai phuphi
roke kehti hai ke baba mere paas aae the
phuphi amma woh yahi paas mere baithe the
mujhse kehte the mera dil nahi lagta beti
aaja ab aaja meri gaud me aaja beti
kabse bechain hu surat toh dikha do mujhko
phuphi amma mere baba se mila do mujhko
woh yahi hoge kahi aap zara de to sada
kahiye unse meri jaanib se ke beti ho fida
dur hi se zara aawaz suna do mujhko
gumse fat jaega beti ka kaleja baba
baksh do mujhko agar ki ho koi maine khata
hu sazawaar par itni na saza do mujhko
shukr allah ka mushkil hui aasaan meri
kat gae kaid ke din aa gayi rukhsat ki ghadi
ab safar khair se guzre yeh dua do mujhko
hai khushi ki yeh ghadi ankh na kijye purnam
aapko deti hu mai auno muhammad ki kasam
muskurate hue jaane ki razaa do mujhko
band aankhe hui jaati hai meri dekhe zaraa
loriyaan deti haimujhko koi maanus sada
nind aati hai phuphijaan sula do mujhko
maangye ab na duaaen mere jeene ke liye
dekhiye aa gaye baba mujhe lene ke liye
kibla ruh karke fufijaan lita do mujhko
haye taqdeer ki markar bhi rahi zinda me
kabr bhi paayi toh bachi ne wahi zinda me
kya khata ki thi sakina ne bat do mujhko
😢
😢😢😢😢😢😢😢😢
😪😪😪😪😭😭😭😭😭