old nohay | Salam khaq nasheeno par sogwaro ka

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 4 жов 2024
  • #aliziarizvi
    #oldnohay
    #muharram
    #azadari
    #oldnoha
    #karbala
    #muharram2020

КОМЕНТАРІ • 4

  • @oldnohay9323
    @oldnohay9323  4 роки тому

    Visit our another channel Soz Khwani - bit.ly/3gTyyQk

  • @hyderhassan9353
    @hyderhassan9353 2 роки тому

    Salam. Mashallah Allah apko jaza e khair dey

  • @BushraHaider-e4z
    @BushraHaider-e4z 2 роки тому

    Salam khaak nasheeno pe soghwaro ka
    Ghareeb detey hain pursa tumhare pyaro ka
    Salam un pe jinhe sharm khaye jaati hae
    Khule saro pe aseeri ki khaak aati hae
    Salam us pe jo zehmat kashe salasil hae
    Museebato mein imaamat ki pehli manzil hae
    Salam bhejtey hain apni shahzadi par
    Ke jisko saoup gaye marte waqt ghar Sarwar
    Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi
    Nisaar kar diye bachhe na bach saka bhai
    Aseer hoke jise shaamiyo ke narghe mein
    Hussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein
    Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain
    Bujhe jo pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain
    Pahaad raat badi der hae saverey mein
    Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein
    Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi
    Woh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi
    Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibi
    Kahan pa baithi ho khaime toh jal gaye bibi
    Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaam
    Ajeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam
    Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogi
    Abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi
    Na is tarah koi kheti hari bhari ujdey
    Tumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi
    Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondein
    Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein
    Nahin layeenoun mein insaan koyi khuda hafiz
    Darinde aur yeh bewaarisi khuda hafiz
    shareek e durod o haqqo salam paighamber
    salam saeed e laolaak ke loote ghar per
    salam mohsin e islaam khasta tan lassho
    salaam tum per shaheed o ke bekafan lasho
    Salam turn pah rasool-o-Batool ke pyaaro
    salam mehr e shahadat ke gird saiyaaro
    Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir hae
    Jo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae
    Salam e Akhir written By Aal’e Raza Marhoom