Mazlooma Hoon Main Fatima Hoon Main Fatima Hoon 1 Meri rudaad suno aapki Zahra hoon main, Baba jaan ranjo masaaib mein girifta hoon main. Kya sitam aapki beti pe hua hai dekho, Sinn hai 18 baras aur zaeefa hoon main. Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon. 2 Bikhuda jab se utha aapka saaya baba, Maine ek pal bhi kabhi chain na paaya baba. Jhuk gayi meri kamar dard ko sahte sahte, Is qadar aapki ummat ne sataya baba. Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon. 3 Uthne lagta hai mere dil mein ghamon ka toofan, Us ghadi aur tadapta hai jigar baba jaan. Mujhse kehti hai yeh jab meri dulaari Zainab, Kis liye baith ke padhti ho namazen amma? Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon. 4 Din-e-qayamat ka yeh dikhaya gaya Zahra ko, Baba peshi pe bhi4 Din-e-qayamat ka yeh dikhaya gaya Zahra ko, Baba peshi pe bhi bulwaya gaya Zahra ko. Phaad kar aapki tahreer zameen par phenki, Bhare darbaar mein jhutlaya gaya Zahra ko. Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon. 5 Main uthane lagi jis waqt sanad ke tukde, Hans rahe the meri gurbat pe sitamgar saare. Aaya us waqt mujhe aur bhi rona jis dam, Bachon ne meri aankh se aansoo poche. Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon. 6 Khoon ta hashra rulayega mujhe yeh sadma, Baba main bhool nahi sakti kabhi woh lamha. Mera masoom pisar saath tha mere us dam, Jab sitamgar ne mere rukh pe tamacha maara. Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon. (Arabic Portion) Ya abatah ya Rasulullah ﷺ, hakaza yuf‘alu bi-habibatika wa bintika, Ah ya Fizza ilayki fakhuzini, faqad wallah qutil ma fi ahshai min haml. 7 Haaye woh hashr ka hangama qiyamat ka sama, Jis ghadi uthne laga jalte hue dar se dhuan. Maine dar thaam liya ki tadapkar yeh faryad, Reham khao logon, mere bachche hain yahan. Meri fariyad kisi ne na suni, Yak-b-yak toot padi fauj-e-shaqi. Thokare maar ke darwaza giraya mujh par, Baba jis waqt gira aapki beti pe dar. Us pe chal chal ke guzarte rahe woh ahle shar, Baba main roti rahi cheekhkar kehti rahi, Meri imdaad karo, dard hai had se zyada. Lut gaya mera jahan, mera Mohsin na raha, Mujhko koi na bachane aaya, Meri nazron mein andhera chhaya. Choor zakhmon se hui, pasliyan toot gayi, Waar kunfuz ne kiya, ungliyan toot gayi. 8 Meri nazron ne qayamat ka woh manzar dekha, Dekhkar jisko laraz utha kaleja mera. Maut tha aapki beti ke liye woh lamha, Jab pada gardan-e-Haider mein rasan ka fanda. Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon. 9 Aaj jis waqt nazar suy-e-Baqi jaati hai, Bekasi bint-e-Nabi ki hume tadpati hai. Ae nadeem aaj bhi veeran kisi turbat se, Ek beti ki yeh purdard sada aati hai. Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon.
Salam ho bibi Zahra per hum azadaro ka ❤
Mashallah mola salamt rhakke bibi pursa qabool kre hr Azadar ko salamat rakhe 😢
Salam ho bibi Zahra per hum azadaro ka
Maula salamat rakhe Anjuman Sipahi e hussaini ke har naujawan ko🤲❤❤😭
Mashiallha Moula hamisha aese hi padhe ap log
Mashallha bhai bhot purdard noha hai 😭😭😭😭😭
Hayee fatimaa...😢😢
Allah Ho Akbar 😭💔😭
Ajra-Kum Al-Allah Khuda Aap Sabko Koi Ghum Na De Siwaye Ghumein Mazlum e Karbala As K Aameen
Haay bibi zahra💔💔😭😭😭
Khuda slamt rakhe जिंदाबाद ❤
Hayee bibi fatima 😢😢😭😭😭😭
😢 Mashaallah allahpak aap sab ko Salamat rakhe panjatanepak ke sadke mein
Mashallah bahut accha noha padha h
Mazlooma Hoon Main Fatima Hoon Main Fatima Hoon
1
Meri rudaad suno aapki Zahra hoon main,
Baba jaan ranjo masaaib mein girifta hoon main.
Kya sitam aapki beti pe hua hai dekho,
Sinn hai 18 baras aur zaeefa hoon main.
Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon.
2
Bikhuda jab se utha aapka saaya baba,
Maine ek pal bhi kabhi chain na paaya baba.
Jhuk gayi meri kamar dard ko sahte sahte,
Is qadar aapki ummat ne sataya baba.
Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon.
3
Uthne lagta hai mere dil mein ghamon ka toofan,
Us ghadi aur tadapta hai jigar baba jaan.
Mujhse kehti hai yeh jab meri dulaari Zainab,
Kis liye baith ke padhti ho namazen amma?
Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon.
4
Din-e-qayamat ka yeh dikhaya gaya Zahra ko,
Baba peshi pe bhi4
Din-e-qayamat ka yeh dikhaya gaya Zahra ko,
Baba peshi pe bhi bulwaya gaya Zahra ko.
Phaad kar aapki tahreer zameen par phenki,
Bhare darbaar mein jhutlaya gaya Zahra ko.
Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon.
5
Main uthane lagi jis waqt sanad ke tukde,
Hans rahe the meri gurbat pe sitamgar saare.
Aaya us waqt mujhe aur bhi rona jis dam,
Bachon ne meri aankh se aansoo poche.
Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon.
6
Khoon ta hashra rulayega mujhe yeh sadma,
Baba main bhool nahi sakti kabhi woh lamha.
Mera masoom pisar saath tha mere us dam,
Jab sitamgar ne mere rukh pe tamacha maara.
Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon.
(Arabic Portion)
Ya abatah ya Rasulullah ﷺ, hakaza yuf‘alu bi-habibatika wa bintika,
Ah ya Fizza ilayki fakhuzini, faqad wallah qutil ma fi ahshai min haml.
7
Haaye woh hashr ka hangama qiyamat ka sama,
Jis ghadi uthne laga jalte hue dar se dhuan.
Maine dar thaam liya ki tadapkar yeh faryad,
Reham khao logon, mere bachche hain yahan.
Meri fariyad kisi ne na suni,
Yak-b-yak toot padi fauj-e-shaqi.
Thokare maar ke darwaza giraya mujh par,
Baba jis waqt gira aapki beti pe dar.
Us pe chal chal ke guzarte rahe woh ahle shar,
Baba main roti rahi cheekhkar kehti rahi,
Meri imdaad karo, dard hai had se zyada.
Lut gaya mera jahan, mera Mohsin na raha,
Mujhko koi na bachane aaya,
Meri nazron mein andhera chhaya.
Choor zakhmon se hui, pasliyan toot gayi,
Waar kunfuz ne kiya, ungliyan toot gayi.
8
Meri nazron ne qayamat ka woh manzar dekha,
Dekhkar jisko laraz utha kaleja mera.
Maut tha aapki beti ke liye woh lamha,
Jab pada gardan-e-Haider mein rasan ka fanda.
Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon.
9
Aaj jis waqt nazar suy-e-Baqi jaati hai,
Bekasi bint-e-Nabi ki hume tadpati hai.
Ae nadeem aaj bhi veeran kisi turbat se,
Ek beti ki yeh purdard sada aati hai.
Baba main mazlooma hoon, main Fatima hoon, main Fatima hoon.
Masha Allah mere bhaiyo ko maula salamat rakhe
Mola salamt rakhe aap sabko 😭😭😭😭
dil tadap gaya nuha sun kar allah azadaro maula sehatyab rakhy😢😢
😭😭😭hy meri mazlooma bibi
Your Noha is very nice Noha and touching my heart ❤️
😭😭😭😭😭😭❤hayee bibi fatima
Mashallah bhai maula salamat rakhe
Padhne Walon aur Matam daro Maula Salamat Rakhe aapko
😭😭😭😭
Haye Haye 😭😭😭😭😭😭😔
😭
Mola aap ko salamt rakhe
🤲🏻😭😭😭😭
💔💔😭
😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢
Nice
😭😭😭😭😭
😢😢😢😢😢
The way you all are reciting is out standing wish all of you to live a long life Qabool e ilahi
😭😭😭😭😭😭😭😭😭
Plz share lyrics
Jio jio moula k
Azadari karne wale
😭😭😭😭😭😭😭
Thank u Zahid bhai.... Lyrics dene k liye.... Pls rqst yahi h aapse anjuman k nauhe ki lyrcs dal diya kriye
Ji
Plz agar app k pass hoto lyrics send karna plz bhai
Mashalla mola aap sab ko hamesha salamat rakhe hyy mazluma 😂😂😂😂😂
😡😡🤬 hase wale emoji q dala pgl ho ky 👊
Hasne wala kyo bheja
Jahil h kya.. Ya yazeed h hasne wala emoji dale h
Bhai aapane galti se hansne wali video Dal Di isko hataye😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢
Re Satya gya kya
Bibi Zehra Sa K Qatilon Pe Lanat Beshumar
Sultanpur ki anjuman hai ye aap ne jaunpur likha hai
Plz lyrics in roman english
😪😪😂😂
Bulb
😂😂😂😂
Shazadi ko Tamacha marne wale par beshumar lannat
Beshumarrrrrrrr lanattt taa qyaamt tkk
😭
😭😭😭😭😭
😭😭😭😭😭😭😭😭😭
😭😭😭😭😭
😭😭😭😭