Jisay Darbar Main Apnay Bulaya Musa e Kazim | Manqabat Imam Musa e Kazim as | Shabab Haider

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 2 жов 2024
  • Assalam o Alaikum Ya Ali as Madad
    New Manqabat Imam Musa e Kazim as🌹
    ..............................
    .......................................
    Title:Jisay Darbar Main Apnay Bulaya Musa e Kazim
    Recite by:Shabab Haider (Rawalpindi)
    Original:Syed Messam Ali Mehdi(Uk)
    Written:Syed Messam Ali Mehdi (Uk)
    Compose:Syed Zair Naqvi(Uk)
    ............................
    ...................................
    ..........................................
    Lyrics
    Jisay darbaar mein apne bulaaey Musa-e-Kazim
    Qaza se qabl khuld us ko dikhaaey Musa-e-Kazim
    1:Ye beta Fatima ka hai so ye wirsa bhi hai is ka
    Jinaan se jo bhi chaahay wo mangaaey Musa-e-Kazim
    2:Usay khursheed-e-roshan bhi nazar se maand lagta hai
    Jo aankhon se lagaaey khaak-e-paa-e-Musa-e-Kazim
    3:Qasam takht-e-Suleimaan ki wo sultaanon ka sultaan hai
    Zamaanay mein jo ban jaaey gada-e-Musa-e- Kazim
    4:Bina haathon ke jo deta hai khud wo bhi ye kehta hai
    Ataaon mein niraali hai ataa-e-Musa-e-Kazim
    5:Shikasta qalb ko wo chaarasaaz-e-dard dekhega
    Bachaaey main ne yoon dukhre bara-e-Musa-e-Kazim
    6:Khudaai ki ye kaisi na-khudaai hai ke raste se
    Bhatakne waalon ko Rab se milaaey Musa-e-Kazim
    7:Wahaan Shah-e- Najaf detay hain jaan be-jaan jismon
    ko
    Yahaan murda zameeron ko jilaaey Musa-e-Kazim
    8:Ye tarz-e-bandagi kya hai isay Sajad hee jaanay
    Musalla qaid khaanay ko banaaey Musa-e-Kazim
    9:Pohonch kar un ke rozay par sharaf paaya hai ye warna
    Kuja main aur kuja Meesam sana-e-Musa-e-Kazim
    #ManqabatImamMusaeKazim #manqabat2022 #shababhaider #SyedamessamAlimehdi #JisayDarbarmainapnaybulayamusaekazim
    #imammusakazim

КОМЕНТАРІ • 38