Mujhe Maar Dijiye | Arpit Sharma | Sad Urdu Poetry
Вставка
- Опубліковано 12 лис 2024
- Poetry By Arpit Sharma
Recital Ahsan Shakeel
Ab dil bujha bujha hai mujhe mar dijiye
Jine mein kya rakha hai mujhe mar dijiye
Dil ke maraz ka ab nahin duniya mein kuchh ilaj
Ye ishq-e-la-dawa hai mujhe mar dijiye
Main be-gunah hun to yahi hai meri saza
Ye faisla hua hai mujhe mar dijiye
Darta hun aaine ko lagane se hath main
Kahta ye aaina hai mujhe mar dijiye
Main hun wafa-shiar yahan ji ke kya karun
Ye daur-e-bewafa hai mujhe mar dijiye
Wallah be-nashsha na rahi meri koi sham
Ukhda hua nasha hai mujhe mar dijiye
Ai jaan-e-dil-bahaar teri be-rukhi ke baad
Ab mere pas kya hai mujhe mar dijiye
Tanhaiyon ki qaid se ghabra ke ek shakhs
Aawaz de raha hai mujhe mar dijiye
Ek baat josh josh mein sach kah gaya hun main
Tum ko bura laga hai mujhe mar dijiye
Tanhai meri us se bhi dekhi nahin gai
Us ne bhi ye kaha hai mujhe mar dijiye
Rashk-e-chaman bana hai ye 'arpit' mera wajud
Khushbu ko chhu liya hai mujhe mar dijiye
Subscribe To Our Channel For More Videos
►► Facebook : / kitabemaazi
►► Instagram : / kitabemaazi
►► Twitter : / kitabemaazi
For Business inquiry or Fan Mail
Call or WhatsApp: +92 331 4872455
Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.