mam ye English rose ke niche se sucker nikalta hai use grow kiya hai kya ,kyuki mere pas bhi ek sucker hai uski hight abhi 9 feet hai or fool bhi isi color me ate hai
Mene red color ka climbing rose khrida he ,or vo isse thoda alag lagta he ,vo abhi chota he lekin usme kaya banchme flawar aayege na???,usme 1 kali lagi thi vo khili thi lekin kaya banch full aaye ge??
Plant ko sunlight Achi chahiye Kam se Kam 4-5 hours ki sunlight dijiye Jyada nami (moisture) Nahi banana pot me Keval halki nami banaiye Or compost , gobar khad, vermicompost Jo bhi ho ek do mutthi pot me daal dijiye Rose ko hardy soil Nahi Pasand kyuki usme Pani hold hota hai Hamesha sandy soil Ka use kijiye Means normal soil me halka sa sand jaroor milaiye.😊
Very beautiful. Mam is climbing rose ki kaun si specific variety hai, means is rose ka specific name kya hai. Agar aap successfully iski cuttings grow kar saki hain to ye definitely Desi/Wild variety hi honi chahiye. Please tell it's specific name. Thanks for sharing.
Thankyou sir Commonly ise pink climbing rose hi kehte hai. Hindi me Lata gulab. Or Jo market me ya online pink miniature rose mil rha hai ye vhi hai. Bas kuch log isko shrub ki Tarah grow karte hai isiliye vine kahin kahin pr hi dikhti hai. Par ye vhi miniature rose hi hai. Hamare pass ye lagbhag 35 year se hai. Usi ki cuttings grow karte rehte hai. Ye easy to grow vine hai.
mam mere pas ground nhi h plzz bataye pot m flower dega kya ye plant mene phle lgaya tha but flowers nhi aye usme itni mhnt k bad bhi mam plzz reply ki ise pot m lgane se flowers ayenge ki nhi
Mem mujhe rose bhot pasnd h but shop walo k kaha h ki rose k seeds nhi milte mne nursary s plant bhi liya tha but wo bhot chota h use 2 mahine ho gaye h bhad nhi raha
didi ek sawal aapko......maine ek bel gulab laya tha nursery se 3-4 mahina pehle......wo barabar grow to horaha hay.....usme flower kab degi bol payenge......aur bel gulab me scent hota hay kia......maine iske niche deka ye grafted jesa hay.....konsa rose me full fragnance hota hay....light fragnance nehi.....muje full franganance wala rose ke bareme boliye...english,desi ya bel
gulab ki bel me type hots hay kia...maine jahase kharida useneto bola ye lot gulab hai.....aur mebhito dekrahahu ye upar charke jaraha hay...iski tahniya bhi bohut flexible hay...hard nehi hay
Agar boan meal hai to ap boan meal 1 tablespoon daaliye 12 inches k pot me Nahi hai to market me rosefood k naam se packet milta hai vo 1 tablespoon daliye..... Or Kuch bhi nhi hai to compost, vermicompost, cowdung (gobar ki khad) daliye Ya liquid mustard cake fertilizer daliye Apko Acha result milega
Is baar ap abhi se plant ki care kijiye ......or instructions follow karte rahiye 100% flowers aa jayenge is baar. 1st step is video me bataya hai . Is link pr jakar ye video dekhiye. ua-cam.com/users/edit?o=U&ar=1565349161286&video_id=UNFjWHdOz_4 2nd step apko September last me bataya jayega Inko follow kijiye 100% Result milega. Har type k rose k liye ye instructions jaroor follow kijiye or September last ki video Ka wait kijiye.
Ap hamare Facebook page par msg bhej dijiye.......hamare pass bohot request hai plant ki......hm December me sabko answer denge .......... Facebook page Ka Link description box me hai facebook.com/plantssspace
Vinod jii..... Ye best season hota hai Kisi bhi rose ko seeds se grow karne k liye ......means July last August starting me ap rose k seeds grow Kar sakte hai...... Seeds ko germinate hone me Kam se Kam 5 to 6 months lag jate Hain. .... Isi liye patience rakhna bohot jaroori hai Jahan ap seeds lga rahe Hain vhan Baarish Ka jyada Pani na bhare......is baat Ka dhyan rakhiyega.
Jo ye pink vala climbing rose hai jise Lata gulab bhi khte Hain......ye har jagah march April me hi flowering karta hai......Apke yahan bhi march April me hi flowering karega.
Anish ji.....hamne cutting ko February me grow Kiya tha Or ye plant march se flowering start kr deti hai Isliye is baar flowering nhi hui But agar ye cutting October me grow karte Hain to march me flowering ho jati hai.
Nhi just ye janana hi ki kya yeh cutting se flowers deta hi ya nhi kuki Mai laya tha ek jo cutting Ludhiana se usme 2 yr se flowers nhi aaye. Mai is variety Ko bahut Khoja hu nhi Mila kahi
@@anishgardening sir Kisi bhi Verity k plant ko jab aap cutting se grow karte Hain to vo mother plant se bhi Achi flowering karta hai. Apke rose me fertilizer ki kami hai Rose food k naam se ek 70 rs k lagbhag aata h vo leke aap 1 table spoon ap September me dalna.
Nursery se to ap Kabhi bhi lekar aa sakte Hain Or lakar use garden me Rakh lijiye Or rose repoting or transplant Ka sabse Acha season October se February tak h Kabhi bhi laga sakte Hain. April se August tak repoting nhi Karni Chahiye kyuki paudha jyada garmi se mar Sakta hai repoting or transplant ke baad. Baaki agar ap doosre months me lagana chahte Hain to polythene kaat Kar Bina disturb kiye esa Ka esa plant pot me rakhkar soil se cover karke laga sakte Hain
If you want to know about any plant ( plant's name , plant's diseaes , plant's condition) please share photo of your plant on my facebook page and Instagram page. Facebook:- facebook.com/Plantss-Space-353039068885739/ Instagram:- instagram.com/plantssspace/
Hello 😊 Cuttings se grow karne par abhi nahi chalega Lekin plant liya hai to chal jayega Abhi usko ese hi rakhiye Ya repot karna bhi hai to soil k saath repot kijiyega
Sunlight 4 hours ki dijiye Agar plant pot me hai to Soil welldrained rakhiye jiske liye soil me sand or drainage hole jaroor ho Soil ki gudai (scratch the soil) kare organic fertilizer gobar ki khad compost yah vermicompost Kuch bhi 1-2 months me add karte rahiye 100% flowering start ho jayegi
Ab isme flowering start hogi march end se April me..... Wait kijiye.....phir bataiyega.... Apne plant agar pot me lagaya hua hai to usme boan meal 1table spoon 12 inch k pot me daliye...... Or agar ground me lagaya hua hai to gudai Karke laghbhag 2 table spoon boan meal daal dijiye....... Boan meal Nahi hai to .....sarson ki khali Ka liquid fertilizer banakar 12 inches ke pot 1 cup daliye or ground me hai to 2 cup daliye..... Banane ki Vidhi or use Kaise Karna aap hamare channel ki video me Dekh lijiye....... Use bhigokar 2 din k liye rakhiye or 10 Guna Pani me milakar daliye......... Or agar koi bhi fertilizer Nahi hai to gobar ki khad, ya compost ya vermicompost ...daaliye har 25-30 din me
@@PlantssSpace thanks for your valuable reply..humne plant ko pot se ground me transfer kr diya 10 days pehle aur abhi uski growth bhut acchi hai aaj morning me humne dekha bunches me kali aa gyi hai..20se bhi jayada hogi.. abhi tk humne koi fertilizer use nahi kiya..jayada flowering ke liye konsa best fertilizer use kerna sahi hoga..abhi plant ko 1 year hue..
@@kapulkk68 Oh great.....and welcome 😊 Ground me hum koi bhi fertilizer plant ko Nahi dete hain kyuki plant k paas talab (pond) hai....or talab se plant fertilized hota rahta hai......or us par itne sare flowers aajate Hain...... Agar Apke yahan ground ki soil achi hogi to plant Apne ap Achi flowering karega... Agar soil normal hai to ap plant ko 30-40 me gobar ki khad ya compost ya vermicompost gudai Karke daal Diya karen...... Ya Kuch Nahi Karna chahte to roots se 4-5 inches door waste sabziyon k chilke soil me time to time daba Diya kijiye....... Flowering Ka main source dhoop, fertilizer or watering hai. In baaton Ka dhyan rakhiye plant Apne ap hi Achi Flowering dega ....... Ground me bohot jyada care Karne ki jaroorat Nahi Hoti...😊
@@amitpateriya3999 ji vo to Sahi baat hai....... But winter seeds pack vali videos dekhiye ap hamare channel par.......price wise or quality wise seeds kaafi ache nikle Hain.....or abhi bhi bohot Achi Flowering de rahe Hain........😊
So beautiful plants ❤
Thanks 😊
सुप्र हिट 👌👌👌👌
Thanks 😊
love rose mam
Thankuu gunvantiben ji..... 😊
🌹Hello
Rose is love.
I love ❤️ roses.
Thankuuu 😊
mam ye English rose ke niche se sucker nikalta hai use grow kiya hai kya ,kyuki mere pas bhi ek sucker hai uski hight abhi 9 feet hai or fool bhi isi color me ate hai
Nahi ye sucker nahi hai , ye climbing rose hai, sucker or climbing rose me difference hota hai video no 587 check kijiye usme bataya gaya hai 😊
@@PlantssSpace ok ji
beautiful ....
Thankuu 😊
Me narsari se lai hu plant kya isme bhi niche se branch niklti he to katna pdti he
Nahi,
ye desi variety hoti hai 😊
Beautiful 👌👌👌
Thankuuu 😊
Isme sucker(jangli gulab) nikalta hai kya
Nhi 😊
Mam appke pas kese aya climbing rose
Nursery se lia tha plant
@@PlantssSpace thanks
Hi mam
Ya Kon Kon month Mai jayeda flowers deya hai please reply
Hello
Saal me ek baar deta hai bas
March April me
Mam mera plant 5year old h uske baad bhi flowering nahi ho rhi kya kare.
March April me saal me ek baar hoti hai is gulabi Lata gulab me
Kam se Kam 4-5 hours ki Direct Dhoop me rakhiye , har 20-25 din me khad dijiye
Very nice
Thanks ☺️
Lucknow me ye mil hi nahi raha maine bahaut jagah try kiya aap kaha rehti hai
Lucknow me to bohot aasani se mil jana chahiye
Vhan har plant mil jata hai
Ab season start hua hai
Mil jayega
Try karte rahiye
Didi kya up aisa gulap 2-3 colours delivery de payenge?
Ye pink climbing Rose hai
Isme pink color hi aata hai
Grafting se different colors possible hain, jo ki different varieties graft ki jayengi 😊
Issi colour ka ek plants bhejenge please didi.
@@rabiray313 not possible 😊
Aap kaha sa ho (where you from) aap apne rose ki kating nahi karte ho kya apni kahaa sa laya he ye rose kya hum apko order diya to kya aap lakar dogee
Ham uttar pradesh se hain, nahi bhej pana possible nahi hai 😊
😮
Apne kha se liya
Kafi saal pahle mere father ne lia tha
Very beautiful mujhey bhi bhej do iski cutting please
Thanks 😊
It's not possible.
Hamare pass pahle hi bohot requests Hain 😊
Ek request or kbool kr lo ji
Mem hamre yahaya nahi mil raha to apje cutting bhej sakti ho
Online try kijiye☺️
Sorry cuttings bhejna possible nhi hai ☺️
@@PlantssSpace ok
It is very beautiful but where it is buy
Thanks ☺️
From local nurseries ☺️
So beautiful
Thanks ☺️
Mene red color ka climbing rose khrida he ,or vo isse thoda alag lagta he ,vo abhi chota he lekin usme kaya banchme flawar aayege na???,usme 1 kali lagi thi vo khili thi lekin kaya banch full aaye ge??
Variety par depend karta hai😊
maine ye plant Flipkart se order ki hun kya sahi hoga ar kya is flower me khushbu hoti h
Ye to plant dekhkar hi pata chalega
Halki khushboo hoti hai
Or konsi narsri pe milta hee
Ap Apne yahan ki local nursery par pata Kar sakte Hain.
Hamare paas hai bohot saalon se hai........
क्या ये देसी गुलाब है या इंग्लिश rose है? क्योंकि आप इसे सीधे cutting से उगाने को कह रही हैं
जी ये देसी ही है क्योंकि देसी गुलाब कटिंग से आसानी से लग जाता है, और यह भी।😊
Mene bhi yeh podha ugaya hai pot me...1 sal ho geya but grow nehi ho raha hei .... mene compost or cocopeat diya hair..kya karu...plzz reply
Plant ko sunlight Achi chahiye
Kam se Kam 4-5 hours ki sunlight dijiye
Jyada nami (moisture) Nahi banana pot me
Keval halki nami banaiye
Or compost , gobar khad, vermicompost Jo bhi ho ek do mutthi pot me daal dijiye
Rose ko hardy soil Nahi Pasand kyuki usme Pani hold hota hai
Hamesha sandy soil Ka use kijiye
Means normal soil me halka sa sand jaroor milaiye.😊
Very beautiful.
Mam is climbing rose ki kaun si specific variety hai, means is rose ka specific name kya hai.
Agar aap successfully iski cuttings grow kar saki hain to ye definitely Desi/Wild variety hi honi chahiye.
Please tell it's specific name.
Thanks for sharing.
Thankyou sir
Commonly ise pink climbing rose hi kehte hai. Hindi me Lata gulab.
Or Jo market me ya online pink miniature rose mil rha hai ye vhi hai.
Bas kuch log isko shrub ki Tarah grow karte hai isiliye vine kahin kahin pr hi dikhti hai.
Par ye vhi miniature rose hi hai.
Hamare pass ye lagbhag 35 year se hai.
Usi ki cuttings grow karte rehte hai.
Ye easy to grow vine hai.
Hi mam hame a kaha milegi?
@@kanijmehbub1189 local nursery me mil jati h
@@PlantssSpaceThanks a lot Mam for your information and guidance. 💐🌹💐👏🙏👏
@@lokeshgaur3232 welcome 😊
Is it successful in rajasthan.. temperature is around 45 degree in june and july..
Yes easily 😊
Yes iam also from rajasthan
Aapne isko kaha se buy kiya h dii......plzz btaiye
Ye bahut purana hai, mere papa lekar aaye the 40 year pahle 😊
I want to buy this climbing rose
Ma'am Kaunsa nursary se milata hai lata vala gulab
Local nurseries me mil jayega 😊
mam mere pas ground nhi h plzz bataye pot m flower dega kya ye plant mene phle lgaya tha but flowers nhi aye usme itni mhnt k bad bhi mam plzz reply ki ise pot m lgane se flowers ayenge ki nhi
Is par bhi video hai pot me flowering ki
Video no 306
Please check
Ji pot me bhi flowering karta hai aasani se
Mam iska seeds kha milega or kb lgaaye seeds...
Seeds ka nahi pta
Plant nursery me mil jayega
Or ye cutting se b grow ho jata hai
Madam mujhe kuch cutting mil Sakti hai please please please 🙏
Not possible 😊
Button rose or climbing rose is same?
Nahi , dono alag alag hote hain 😊
Very beautiful mam can i get cutting
Where can i get theseevimes
Not possible, please search in local nurseries 😊
289 like
Stay connected
Lovely vine
Thanks 😊
Mem mujhe rose bhot pasnd h but shop walo k kaha h ki rose k seeds nhi milte mne nursary s plant bhi liya tha but wo bhot chota h use 2 mahine ho gaye h bhad nhi raha
4-5 hours ki sunlight jaroor dijiye
Video no 254 check kijiye sari jankari di gai h usme 😊
didi ek sawal aapko......maine ek bel gulab laya tha nursery se 3-4 mahina pehle......wo barabar grow to horaha hay.....usme flower kab degi bol payenge......aur bel gulab me scent hota hay kia......maine iske niche deka ye grafted jesa hay.....konsa rose me full fragnance hota hay....light fragnance nehi.....muje full franganance wala rose ke bareme boliye...english,desi ya bel
Sabse pahle ye bataiye k kya ap confirm Hain k vo yahi vala Lata Gulab hai ya Kisi or type ki Gulab ki bel hai?
Kyuki ye Gulab to April me Flowering karta hai bas,,,,,,, or baaki Gulab ki bel Kisi bhi mosam me flowering Karti Hain.
Ji Haan Bel Gulab me scent hota hai but bohot light.
gulab ki bel me type hots hay kia...maine jahase kharida useneto bola ye lot gulab hai.....aur mebhito dekrahahu ye upar charke jaraha hay...iski tahniya bhi bohut flexible hay...hard nehi hay
Sabse jyada fragrance desi Gulab me Hoti hai Jo ki red, or pink me sabse jyada Hoti hai.
Plant black hokr Mr kyu jata hai
Soil me jyada nami (Overmoisture) hai
Pani kam diya kijiye
Nursery me nahi milti ye
Mil bhi jata hai kisi kisi nursery me
Plez is ka fertilielzer btene ta k mera climbe gulabe growth kre
Agar boan meal hai to ap boan meal 1 tablespoon daaliye 12 inches k pot me
Nahi hai to market me rosefood k naam se packet milta hai vo 1 tablespoon daliye.....
Or Kuch bhi nhi hai to compost, vermicompost, cowdung (gobar ki khad) daliye
Ya liquid mustard cake fertilizer daliye
Apko Acha result milega
Sister JII,,,, In pot,,,, wat will be the poting soil,,,, mannure,,,,,,, & how to get more flowers,,,, kindly update.
Video no 301 for potting mix
Video no 306, 310, 507 for climbing rose care
Kindly please send links. I couldn't find.
Type "video no 301 by plantss space" on youtybe
Sister couldn't get it.
Is ki catting abhi laga sakte
Nahi ab Nahi,,,,,,,,,Gulab ki cuttings October se February tak lagai jati hai 😊
Yah kahan per milega
Nursery me mil jayega
Mam ye mai gamle me laga sakti hu kya,aur abhi march shuru ho raha h,to kya is time nursery se lekar laga sakti hu kya
Ji bilkul laga sakti hain........normal rose plant ki hi Tarah😊
@@PlantssSpace thanku
Is this jungli rose ?
Is this scented ?
No not junglee rose,,,,this one is climbing rose (Desi variety)
It has Light fragrance 😊
Okay thanks for reply. Last question. Is this the same rose which is used to graft English rose in nurseries ?
@@abhimanyu5363 no,,,,but you can 😊
@@PlantssSpace thank you.
You are from which place maam
From Uttar Pradesh 😊
Konse mahine. Flower. Ate he
March se flowering start Kar deta hai plant .......April tak aate the Hain......
Hlo di kya ap mujhe rose plant de sakte ho plsssssssss 🙁
Hello
Not possible
Hamre he par falvers nahi aate
Kitna Purana plant hai apka?
@@PlantssSpace 3 years ago
@@PlantssSpace 3 yers se he
Is baar ap abhi se plant ki care kijiye ......or instructions follow karte rahiye 100% flowers aa jayenge is baar.
1st step is video me bataya hai .
Is link pr jakar ye video dekhiye.
ua-cam.com/users/edit?o=U&ar=1565349161286&video_id=UNFjWHdOz_4
2nd step apko September last me bataya jayega
Inko follow kijiye 100% Result milega.
Har type k rose k liye ye instructions jaroor follow kijiye or September last ki video Ka wait kijiye.
Climbig rose ke plants kha milenge
Ye nursery pr mil jayega .....agar Nahi milta hai to ap nursery owner se bolkar mangva Sakti Hain.
Online bhi purchase kr Sakti Hain.
एयर लेयरिंग कब करनी चाहिये?
Ye cutting se easily grow ho jayega
October to January kabhi bhi cutting se grow ho jayega 😊
Airlayering me rainy season me acha result milta hai 😊
jungli rose lg rha hai (root stock) ye
No ☺️
Please check video no 306 for difference ☺️
Kaya aap hame cutting de sakte he plz mem
Ap hamare Facebook page par msg bhej dijiye.......hamare pass bohot request hai plant ki......hm December me sabko answer denge ..........
Facebook page Ka Link description box me hai
facebook.com/plantssspace
@@PlantssSpace I want to buy ur climbing rose plants..Plz send me on my adddress
@@sumantkumar7147 sorry it's not possible.😊
me ne is plant k seeds dale hen magar 5 me se sirf 1 seedling nikla hai
aap mujhe is k lagane ka tareeqa batayen
Ye cuttings se easily lg jati hai 😊
fragnent?
Light fragrance 😊
देसी गुलाब में जो vine निकल आती है क्या वो ,ये ही vine बन जाएगी॥?
नहीं ये अलग होता है 😊
Can I get it one cutting plant plz??
Not possible 😊
Onalingulab ki bel kese mangvaye
Online manga lijiye .....order kijiye😊
Gulab bel ki praises kyahe?
@@naynarasaniya9621 ye to apko local nursery or online search Karke hi pta chalega .....kyuki price change hote rahte Hain😊
How much colour available wine roses
Priya ji.... Mostly all common colours ....like red, pink, yellow, white, orange, dark pink,light pink etc
@@PlantssSpace from where we buy? not available in our nursery
Priya ji.....you can buy from online .......or local nurseries.
Aapne kaha se buy kiya ye plant
Mere father ne liya tha kai saal pahle 😊
@@PlantssSpace mai bihar se hu or yeha nahi milte aishe rose
Online mil jayega 😊
Ye video kon si place ki he
Bijnor
Maam climbing rose ke seeds kis season me laga sakte hain
Vinod jii..... Ye best season hota hai Kisi bhi rose ko seeds se grow karne k liye ......means July last August starting me ap rose k seeds grow Kar sakte hai......
Seeds ko germinate hone me Kam se Kam 5 to 6 months lag jate Hain. .... Isi liye patience rakhna bohot jaroori hai
Jahan ap seeds lga rahe Hain vhan Baarish Ka jyada Pani na bhare......is baat Ka dhyan rakhiyega.
If i bought a cuttings from online group does it grow
Always grow in October to February
Mem. Lekin hamari Bel konse mahineme flower aayege
Jo ye pink vala climbing rose hai jise Lata gulab bhi khte Hain......ye har jagah march April me hi flowering karta hai......Apke yahan bhi march April me hi flowering karega.
Please tell me online site name for climber rose
Amazon
But I didn't buy my plant online.
You can check this on Amazon.
is gulab ko kis naam se Jana jata
Lata gulab / climbing rose 😊
Kya aapki cutting me flowers aate hai
Anish ji.....hamne cutting ko February me grow Kiya tha
Or ye plant march se flowering start kr deti hai
Isliye is baar flowering nhi hui
But agar ye cutting October me grow karte Hain to march me flowering ho jati hai.
Next year flowering karega cutting se grow Kiya hua plant.
Nhi just ye janana hi ki kya yeh cutting se flowers deta hi ya nhi kuki Mai laya tha ek jo cutting Ludhiana se usme 2 yr se flowers nhi aaye. Mai is variety Ko bahut Khoja hu nhi Mila kahi
@@anishgardening sir Kisi bhi Verity k plant ko jab aap cutting se grow karte Hain to vo mother plant se bhi Achi flowering karta hai.
Apke rose me fertilizer ki kami hai Rose food k naam se ek 70 rs k lagbhag aata h vo leke aap 1 table spoon ap September me dalna.
@@PlantssSpace Maine bahut kuch use Kiya but flowers nhi aaye. 😂
Bila ki bell kahase kharide
Online
Kya ise pot me lagane pe iska itne bell banega?
Nahi itna Bel to jameen me hi banega....
Agar aap isko bada pot denge to itna to nahi but fail jayega kuch
M
Mam ise nursery se lake kis month me laga sakte hai..
Nursery se to ap Kabhi bhi lekar aa sakte Hain
Or lakar use garden me Rakh lijiye
Or rose repoting or transplant Ka sabse Acha season October se February tak h
Kabhi bhi laga sakte Hain.
April se August tak repoting nhi Karni Chahiye kyuki paudha jyada garmi se mar Sakta hai repoting or transplant ke baad.
Baaki agar ap doosre months me lagana chahte Hain to polythene kaat Kar Bina disturb kiye esa Ka esa plant pot me rakhkar soil se cover karke laga sakte Hain
Thankyou very much mam
Can i get some cuttings mam
Not possible 😊
नमस्ते जी एक कटीगं कूरियर कर दीजिए
नमस्ते 😊
यह संभव नहीं।😊
@@PlantssSpacegood mornig कीया जाऐ ता सब सम्भव है 🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻
Sister where can we get such climbing roses can you send me 2 plants by courier service. I stay in Secunderbad
Indira ji......I will give you answer in December.
You can also send message about gardening in my plantss space Facebook page inbox.
If you want to know about any plant ( plant's name , plant's diseaes , plant's condition) please share photo of your plant on my facebook page and Instagram page.
Facebook:-
facebook.com/Plantss-Space-353039068885739/
Instagram:-
instagram.com/plantssspace/
WHY CANT YOU GIVE YOUR ADDRESS
How can we buy climber rose
Vaibhav ji...you can buy from local nursery or online easily.😊
Hlo ma'am. Mene climbing rose abi mangwaya h to kya ye june m grow ho jayega😟
Hello 😊
Cuttings se grow karne par abhi nahi chalega
Lekin plant liya hai to chal jayega
Abhi usko ese hi rakhiye
Ya repot karna bhi hai to soil k saath repot kijiyega
@@PlantssSpace mam mene filipcart se mngwaya tha. To repot to kr diya h. Grow ho jayegi na plz btaye😕
Ho jayega
@@PlantssSpace thank you so much ma'am 😊
Where I can get climber rose
From Local nurseries 😊
Flower nhi aa rhe
Ye march April me flowers deta hai bas
To ye summer flowers me kaise aata h
Kyuki baki rose winter rose hote hain
Ye winter me blooming nahi karta hai
Or April summer hota hai
Hello ma'am. Kya rose vine waala plant bhi hota hai???
Ye rose vine hi hoti hai
Ap pot me as a plant grow kar sakte hain
Iske liye ap video no 306 jaroor dekhiye 😊
@@PlantssSpace do you sell this plant? If yes, then please tell me whether can you send this flowering plant to my address?
Sorry 😊
@@PlantssSpace ok
Please, i want a plant.
Please search on local nurseries 😊
@@PlantssSpace not available.if I pay the courier charge, will you please send me some cuttings 🙏🏻
@@sheebar5115 not possible, please understand
Mam apne ye liya kahan se hai??
Ye laghbhag 35 year se hai hamare pass
Father lae the kahin se
येकहा मिलेगी हमे चाहीये कितने की है
Online ya local nursery me try kijiye 😊
Yes mere pass hai ....pr fool ni aa rahe ispe
Sunlight 4 hours ki dijiye
Agar plant pot me hai to Soil welldrained rakhiye jiske liye soil me sand or drainage hole jaroor ho
Soil ki gudai (scratch the soil) kare organic fertilizer gobar ki khad compost yah vermicompost Kuch bhi 1-2 months me add karte rahiye
100% flowering start ho jayegi
Maine apne gher lagaya hai..abhi 10 fit tk height hoo gya hai...but flowers abhi start nahi hua..
Ab isme flowering start hogi march end se April me.....
Wait kijiye.....phir bataiyega....
Apne plant agar pot me lagaya hua hai to usme boan meal 1table spoon 12 inch k pot me daliye......
Or agar ground me lagaya hua hai to gudai Karke laghbhag 2 table spoon boan meal daal dijiye.......
Boan meal Nahi hai to .....sarson ki khali Ka liquid fertilizer banakar 12 inches ke pot 1 cup daliye or ground me hai to 2 cup daliye.....
Banane ki Vidhi or use Kaise Karna aap hamare channel ki video me Dekh lijiye.......
Use bhigokar 2 din k liye rakhiye or 10 Guna Pani me milakar daliye.........
Or agar koi bhi fertilizer Nahi hai to gobar ki khad, ya compost ya vermicompost ...daaliye har 25-30 din me
@@PlantssSpace thanks for your valuable reply..humne plant ko pot se ground me transfer kr diya 10 days pehle aur abhi uski growth bhut acchi hai aaj morning me humne dekha bunches me kali aa gyi hai..20se bhi jayada hogi.. abhi tk humne koi fertilizer use nahi kiya..jayada flowering ke liye konsa best fertilizer use kerna sahi hoga..abhi plant ko 1 year hue..
@@kapulkk68
Oh great.....and welcome 😊
Ground me hum koi bhi fertilizer plant ko Nahi dete hain kyuki plant k paas talab (pond) hai....or talab se plant fertilized hota rahta hai......or us par itne sare flowers aajate Hain......
Agar Apke yahan ground ki soil achi hogi to plant Apne ap Achi flowering karega...
Agar soil normal hai to ap plant ko 30-40 me gobar ki khad ya compost ya vermicompost gudai Karke daal Diya karen......
Ya Kuch Nahi Karna chahte to roots se 4-5 inches door waste sabziyon k chilke soil me time to time daba Diya kijiye.......
Flowering Ka main source dhoop, fertilizer or watering hai.
In baaton Ka dhyan rakhiye plant Apne ap hi Achi Flowering dega .......
Ground me bohot jyada care Karne ki jaroorat Nahi Hoti...😊
Mam, Kiya ye scented rose hai....?
It has light fragrance. 😊
Mam ise Apne kaha se buy kiya
Shabina ji......bohot Purana plant hai
Mere father ne grow Kiya tha.
@@PlantssSpace ap iski cutting send kr Sakti h
@@shabinakhan2190 ap khan se Hain?
@@PlantssSpace Gorakhpur
@@shabinakhan2190 Gorakhpur bohot door hai ,😧
mem gulab ka nam keya he
Climbing rose
Online se milega keya ?
Yes 😊
@@PlantssSpace online me to seed milta hay but rose plant to nehi milta hay .seeds se to plant nehi hota
Mil jata hai
Ap nursery me order dekar bhi mangva sakte hain 😊
Ok
Miss i love your rose vine, plzz can you send me cuttings of this plant i will pay for this
Thanks 😊
But it's not possible. Sorry 😊
Mere pass he ye climbing pink rose and white bhi h Mai de skta hu bahut sahi cutting h mere pass
@@zakirkhan3346 Mere ghar west bengal mein hai....aap kya mujhe pink climbing rose ki cutting de satkte ho......?
@@satyajitpal497 Mai de skta hu rose cutting pr Mera home town Lucknow me he....
@@zakirkhan3346 ji main odisha se hu plz plz , mujhe ek plant send karsaktain hain
Mam aapne ye kaha se liya hai
Mere father laye the kai saal pahle 😊
Bich ka video copy right hain
Ji Nahi hamari videos apni Hoti hai...... original. 😊
Mujhe bhi chahie plz
Ji ap bhi jaroor grow kijiye 😊
English climbing rose he to falvers aayege ya nahi
Ji .....koi SA bhi rose ho flower jaroor ayenge
Bas ap instructions follow karte rahiye.
मै बहूत दिनो से खोज रहा हू नही मिलता
Ye
Kaha
Mileage
Ye nursery pr mil jayega .....agar Nahi milta hai to ap nursery owner se bolkar mangva Sakti Hain.
Online bhi purchase kr Sakti Hain.
Mam main online se order ki thi, but English rose mila
Kya aaap iske plant sell karti hai
Nhi....hmara home garden hai 😊
@@PlantssSpace okk ☹️☹️
Seeds k naam par kya pta kya mil ra hai ol plants bhi mnga kr dekh liye but kuch mngao kuch mil ra hai bahut paisa barbaad ho chuka
@@amitpateriya3999 ji vo to Sahi baat hai.......
But winter seeds pack vali videos dekhiye ap hamare channel par.......price wise or quality wise seeds kaafi ache nikle Hain.....or abhi bhi bohot Achi Flowering de rahe Hain........😊
@@PlantssSpace ok thnku
Please givee adtess
Please give me a link
Please search in local nurseries ☺️
कोई इसे खरीदने का पता बताएगा
Kisi bhi nursery par mil jayega
Or nahi mile to unhe bolkar means order dekar mangva lijiye 😊