Nohay 2022 | Lash E Ali Asghar | Sayem Azmi Nohay 2022 | Noha Shahadat Ali Asghar | New Noha 2022

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 1 жов 2024
  • Nohay 2022 | Lash E Ali Asghar | Sayem Azmi Nohay 2022 | Noha Shahadat Ali Asghar 2022 | New Noha 2022
    #newnoha2022 #sayemazmi #nohay2022 #noha2022 #aliasgharnoha #azadari_chitora #muharram2022 #2022nohay #sayemazminohay
    Title - Lash E Ali Asghar Se Aati Hai Sada Amma | Noha 1444/2022
    Related - Noha Shahadat Hazrat Ali Asghar (as)
    Reciter - Syed Sayem Azmi
    Poetry - Raqim Nowganvi
    Audio - HDS 14 (Muzaffarnagar)
    Edit by - Zahid Ali
    Video & Production - ‪@AzadariChittora‬
    Lyrics:-
    Lashe Ali Asgar se aati hai sada amma
    Jalti ret par mera lasha hai pada amma
    (1)
    Kaisi sham ye aayi khakh ka bichauna hai
    Aap ki kaha godi ab isi pe Sona hai
    Raat ho gayi ran me din bhi dhal gaya amma
    (2)
    Kya batau kis tarah Shah ne nikala tha
    Haye navake zalim teen bhal wala tha
    Jis se chid gaya mera nanha sa gala amma
    (3)
    Nusrate imamat me teer halk pe khaya
    Mai bhi shere haider hun muskura ke batlaya
    Kam agayi mere aap ki dua amma
    (4)
    Yaad apki mujhko har ghadi rulayegi
    Mujhko aise aalam me neend kaise aayegi
    Tap rahi hai shiddat se rete karbala amma
    (5)
    Kon mujhpe us lamha rahm khane wala tha
    Jis ghadi mera lasha qabr se nikala tha
    Yaad us ghadi maine aap ko kiya amma
    (6)
    Kaise zapt kr pati sakht marhala hota
    Gham se haal kya jane us ghadi hua hota
    Aap dekh leti jo teer me gala amma
    (7)
    Teer khake mai goya maile takkalum tha
    Mere khusk hotho par fath ka tabbasum tha
    Tha zamen par taari ek zalzala amma
    (8)
    Kaise aale Ahmed me tashnagi ka manzar tha
    Sheer aap ka amma kab mujhe mayassar tha
    Teen roz tak mai bhi tashnalab raha amma
    (9)
    Hamko raqimo sayem Aaj bhi ye lagta hai
    Jaise koi maqtal se ye sadaye deta hai
    Intezar karta hai tera ladla amma
    Lashe Ali Asgar se aati hai sada amma
    Jalti ret par mera lasha hai pada amma
    ⚫Social Media:-
    Subscribe : goo.gl/mf9Pi4
    Want to chat? Hit me up on social media!
    Instagram: / azadarichittora
    Facebook: / azadarichittora

КОМЕНТАРІ • 234