Ghar Fatima Zehra Ka | Farzad Moosvi | 1445 | Toronto Canada

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 5 жов 2024
  • Ghar Fatima Zehra Ka | Farzad Moosvi | 1445 | Toronto Canada
    Kalam Title: Ghar Fatima Zehra Ka
    Recited By: Farzad Moosvi
    ==============================
    FOLLOW AZH110 ON ALL PLATFORMS
    UA-cam: / azh110dc
    Facebook: www.Facebook.com/AZH110
    Instagram: AZH110
    ==============================

КОМЕНТАРІ • 7

  • @alighalibnaqvi
    @alighalibnaqvi Рік тому

    MashaAllah
    جَزَاكَ ٱللَّٰهُ خَيْرًا

  • @jaafy
    @jaafy Рік тому

    Mashallah! Masha Allah ❤❤

  • @engr.abidrazabokhari.sheik9403

    AoA. Mola Aap Sub ko Salamat Rakhain. "C Area" ki azadari (AZH , ATI) ki yadain taza ho jati hain. Dil mazeed ranjeeda ho jata hay. Riqqat tari ho jati hay. Yaqeen Mohkam hay k Qibla Molana Syed Hasan Imdad Jafri Sb, Sachay Bhai, Nazim Bhai oar deegar tamam marhoomeen Jannat ul Firdos mein Chahardah Masoomeen A.S. k zair e saya hon gay. Aameen.

  • @johnsayed
    @johnsayed Рік тому +2

    Moosvi bhai aap aur jr sachchay bhai ke padhe huwe matam nauha sunkar dil mei 😢 bachpan ki azadari ki yaad aajati hai kyuki aaj social media ki wajah se kaafi Digital shia ban gaye hain....
    Mawla Muslim a s salamat rakhein aap sab ko aur aapki awaz ko

  • @haiderunwan2309
    @haiderunwan2309 Рік тому

    Masha allah

  • @lrizviart
    @lrizviart Місяць тому

    Mashallah 🩷

  • @hussainbrothersnyofficial8403
    @hussainbrothersnyofficial8403 3 місяці тому

    Lyrics: Ghar Fatima Zahra ka
    Ghar Fatima Zahra ka ajab shan ka ghar hay
    1) Yay wahi ki manzil hay yay Quran ka ghar hay
    Islam kay mahawl may eman ka ghar hay
    Momin ki munafiq ki yay pehechan ka ghar hay
    Kuch log maray jatay hay is runjo mehen may
    Is ghar ka jo darwaza hay masjid kay sehen may
    2) Allaha nay is ghar ko naboowat say nawaza
    Duniya may issay deen-o-shariyat say nawaza
    Qismat say Imamat say wilayat say nawaza
    Har fard ko Quran ki ayat say nawaza
    Sanchay may mashiyat kay yay afrad dhalay hay
    Sab chadar-e-tatheer kay saey may palay hay
    3) Yay azama kay fawlad isi ghar may milaingey
    Yay noor kay ajsad isi ghar may milaingey
    Jibareel kay ustad isi ghar may milaingey
    Is satha kay afrad isi ghar may milaingey
    Makhlook ki baat akhari sarhad nazar aya
    Jis fard ko daykha wo Mohammad nazar aya
    4) Ashabay mukarram hay magar apni jagaha par
    Ghair apni jagaha lakhtay jigar apni jagaha par
    Khar apni jaga ghunchaey tar apni jagaha par
    Sung apni jagaha laalo Gawhar apni jagaha par
    Peheloo may jo baitha ho ussay dil nahi kehetay
    Rehero ko kabhi rehebar-e-manzil nahi kehetay
    5) Allah haray izzo sharafay bintay risalat
    Qandeel-e-haram shammay shabistan-e-Imamat
    Rehemat jo Mohammad hay to yay paraey rehemat
    Wo kullay naboowat hay to yay juzvay naboowat
    Asa na kaho marifatay khatmay Rasul ko
    Jo juz ko na samjha ho wo kya samjhayga kul ko
    Ghar Fatima Zahra ka ajab shan ka ghar hay