Urdu Sufi Poetry
Urdu Sufi Poetry
  • 81
  • 123 629
Beautiful Nazm by Tehzeeb Hafi| Nazm Mariyam| Tehzeeb Hafi Poetry
main aainon se gurez karte hue
pahaadon ki kokh mein saans lene waali udaas jheelon mein apne chehre ka aks dekhoon to sochta hoon
ki mujh mein aisa bhi kya hai mariyam
tumhaari be-sakhta mohabbat zameen pe phaile hue samandar ki wusaaton se bhi maavra hai
mohabbaton ke samundaron mein bas ek bahira-e-hijr hai jo bura hai mariyam
khala-navardon ko jo sitaare muaawze mein mile the
vo unki raushni mein ye sochte hain
ki waqt hi to khuda hai mariyam
aur is taalluq ki gathriyon mein
ruki hui saatyon se hatkar
mere liye aur kya hai mariyam
abhi bahut waqt hai ki ham waqt de zara ik doosre ko
magar ham ik saath rahkar bhi khush na rah sake to muaaf karna
ki maine bachpan hi dukh ki dahleez par guzaara
main un charaagon ka dukh hoon jinki love shab-e-intezaar mein bujh gai
magar unse uthne waala dhuaan zamaan-o-makaan mein faila hua hai ab tak
main kohsaaron aur unke jismoon se bahne waali un aabshaaron ka dukh hoon jinko
zameen ke chehron par rengte rengte zamaane guzar gaye hain
jo log dil se utar gaye hain
kitaaben aankhon pe rakh ke soye the mar gaye hain
main unka dukh hoon
jo jism khud-lazzatee se ukta ke aainon ki tasalliyon mein pale badhe hain
main unka dukh hoon
main ghar se bhaage huo ka dukh hoon
main raat jaage huo ka dukh hoon
main sahilon se bandhi hui kashtiyon ka dukh hoon
main laapata ladkiyon ka dukh hoon
khuli hue khidkiyon ka dukh hoon
mitti hui takhtiyon ka dukh hoon
thake hue baadlon ka dukh hoon
jale hue junglon ka dukh hoon
jo khul kar barsi nahin hai main us ghatta ka dukh hoon
zameen ka dukh hoon
khuda ka dukh hoon
bala ka dukh hoon
jo shaakh saawan mein foottee hai vo shaakh tum ho
jo peeng baarish ke baad ban ban ke tootti hai vo peeng tum ho
tumhaare hothon se saatyon ne sama'aton ka sabq liya hai
tumhaari hi shaakh-e-sandlee se samundaron ne namak liya hai
tumhaara mera muaamla hi juda hai mariyam
tumhein to sab kuchh pata hai mariyam
Like, Subscribe and Share :)
Tehzeeb Hafi: ua-cam.com/video/33YPitTxa2k/v-deo.htmlsi=q17HbcqLrXD9e9FC
#tehzeebhafi #tehzeebhafinewshayari #tehzeebhafipoetry #tehzeebhafipoetrystatus #shayari #urdupoetrystatus #classicpoetry #ghazals #namazs #sufi #sufipoems #sufipoetry #tehzeebhafighazals #tehzeebhafiofficial #poetrychannel #poetrycommunity
Переглядів: 128

Відео

hum bhi shair the kabhi jaan-e-suKHan yaad nahin |AHMAD FARAZ| Ahmad Faraz Best Poetry
Переглядів 1,1 тис.Місяць тому
ham bhī shā.ir the kabhī jān-e-suḳhan yaad nahīñ tujh ko bhūle haiñ to dil-dārī-e-fan yaad nahīñ dil se kal mahv-e-takallum the to ma.alūm huā koī kākul koī lab koī dahan yaad nahīñ aql ke shahr meñ aayā hai to yuuñ gum hai junūñ lab-e-goyā ko bhī be-sāḳhta-pan yaad nahīñ avval avval to na the vāqif-e-ādāb-e-qafas aur ab rasm-o-rah-e-ahl-e-chaman yaad nahīñ har koī nāvak o tarkash kī dukāñ pūch...
Maiñ to Maqtal Meñ Bhī|Ahmad Faraz|Ahmad Faraz Best Poetry
Переглядів 422Місяць тому
maiñ to maqtal meñ bhī qismat kā sikandar niklā qur.a-e-fāl mire naam kā aksar niklā thā jinheñ zo.am vo dariyā bhī mujhī meñ Duube maiñ ki sahrā nazar aatā thā samundar niklā maiñ ne us jān-e-bahārāñ ko bahut yaad kiyā jab koī phuul mirī shāḳh-e-hunar par niklā shahr-vāloñ kī mohabbat kā maiñ qaa.el huuñ magar maiñ ne jis haath ko chūmā vahī ḳhanjar niklā tū yahīñ haar gayā hai mire buzdil dus...
Shairy Tazah Zamanoon ki hai maimaar Faraz|Ahmad Faraz Best Poetry
Переглядів 362Місяць тому
us kā apnā hī karishma hai fusūñ hai yuuñ hai yuuñ to kahne ko sabhī kahte haiñ yuuñ hai yuuñ hai jaise koī dar-e-dil par ho sitāda kab se ek saaya na darūñ hai na barūñ hai yuuñ hai tum ne dekhī hī nahīñ dasht-e-vafā kī tasvīr nok-e-har-ḳhār pe ik qatra-e-ḳhūñ hai yuuñ hai tum mohabbat meñ kahāñ sūd-o-ziyāñ le aa.e ishq kā naam ḳhirad hai na junūñ hai yuuñ hai ab tum aa.e ho mirī jaan tamāshā ...
Zia Mohiuddin x Mirza Ghalib Poetry|Urdu Poetry
Переглядів 4843 місяці тому
Mirza Ghalib Poetry by Zia Mohiuddin Also Listen poetry by Zia Mohiuddin :https: //ua-cam.com/video/j5dKlbKxBRg/v-deo.htmlsi=W-1Tt9LJTIZIztVL : ua-cam.com/video/nZeGLR4PR9k/v-deo.htmlsi=CKhkBiGdl7BK6Bln Allama Iqbal:ua-cam.com/video/7SsAZ5OdpFE/v-deo.htmlsi=YogEk7Y2bpVxSxEN mirza ghalib poetry by zia mohiuddin, mirza ghalib shayari zia mohiuddin, mirza ghalib by zia mohiuddin, zia mohiuddin mir...
Mujh se yaarab mere lafzon ki kamaai ley ley|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Gazal
Переглядів 2703 місяці тому
وحشت دل صلۂ آبلہ پائی لے لے مجھ سے یارب مرے لفظوں کی کمائی لے لے عقل ہر بار دکھاتی تھی جلے ہاتھ اپنے دل نے ہر بار کہا آگ پرائی لے لے میں تو اس صبح درخشاں کو تونگر جانوں جو مرے شہر سے کشکول گدائی لے لے تو غنی ہے مگر اتنی ہیں شرائط تیری وہ محبت جو ہمیں راس نہ آئی لے لے ایسا نادان خریدار بھی کوئی ہوگا جو ترے غم کے عوض ساری خدائی لے لے اپنے دیوان کو گلیوں میں لیے پھرتا ہوں ہے کوئی جو ہنر زخم نمائی ...
Ishq || Main ishq likhoon tujhe ho jaye || Amir Aneer
Переглядів 2143 місяці тому
Chal Aa Ek Aisi Nazam Kahoon Jo lafz kahoon wo ho jaye Bus ashk kahoon to ik ansoo Tere gorey gaal ko dho jaye Main aa likhoon tu aa jaye Main baith likhoon tu aa bethey Mere shaaney par sar rakhey tu Main neend kahoon tu so jaye Main kaghaz par tere hont likhoon Tere honton par muskaan aye Main dil likhoon tu dil thamey Main gum likhoon wo kho jaye Tere hath banaoon pencil se Phir hath pe tere...
Khud ko tabah kar liya|Jaun Elia Best Poetry|Jaun Elia Best Shayari
Переглядів 7823 місяці тому
Hal yeh hai ke khwahish-e-pursish-e-haal bhi nahi Us ko khayal bhi nahi, apna khayal bhi nahi Aye shajar-e-hayat-e-shauq, aisi khizaan rasidgi? Poshish-e-barg o gul to kya, jism pe chhaal bhi nahi Mast hain apne haal mein, dil zadgaan o dilbaran Sulh o salaam to kahan, behas o jadal bhi nahi Tu mera hosla to dekh, daad to de ke ab mujhe Shauq-e-kamaal bhi nahi, khauf-e-zawaal bhi nahi Pehle ham...
Mujh se yaarab mere lafzon ki kamaai ley ley|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Gazal
Переглядів 1,1 тис.3 місяці тому
Mujh se yaarab mere lafzon ki kamaai ley ley|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Gazal
Mere Tan Ke Zakhm Na gin Abhi|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz|Urdu Sufi Poetry
Переглядів 2 тис.4 місяці тому
Mere Tan Ke Zakhm Na gin Abhi|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz|Urdu Sufi Poetry
"Tere Hotay Huay Mehfil Mein Jaltay Hain Chiraagh"|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz
Переглядів 1,8 тис.4 місяці тому
"Tere Hotay Huay Mehfil Mein Jaltay Hain Chiraagh"|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz
Maine Ghazlein kahin|Ahmad Salman Poetry|Ahmad Salman Shayari|Urdu Sufi Poetry
Переглядів 8504 місяці тому
Maine Ghazlein kahin|Ahmad Salman Poetry|Ahmad Salman Shayari|Urdu Sufi Poetry
'Usny ne sakoot shab mein bhi'|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Poetry|Ahmad Faraz
Переглядів 7314 місяці тому
'Usny ne sakoot shab mein bhi'|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Poetry|Ahmad Faraz
Dukh fasana nahi keh tujh se kahin|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Shayari|Urdu Sufi Poetry
Переглядів 3,7 тис.4 місяці тому
Dukh fasana nahi keh tujh se kahin|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Shayari|Urdu Sufi Poetry
Hum khawabon ke byopari thay|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Shayari|Urdu Sufi Poetry
Переглядів 5 тис.4 місяці тому
Hum khawabon ke byopari thay|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Shayari|Urdu Sufi Poetry
Mere paasbaan, mere naqab zan, mera mulk mulk yateem hai|Ahmad Faraz|Ahmad Faraz Poetry|Urdupoetry
Переглядів 1,5 тис.4 місяці тому
Mere paasbaan, mere naqab zan, mera mulk mulk yateem hai|Ahmad Faraz|Ahmad Faraz Poetry|Urdupoetry
Naat |Ahmad Faraz|Ahmad Faraz Poetry|Ramadan | Ahmad Faraz Best Shayari
Переглядів 1,6 тис.4 місяці тому
Naat |Ahmad Faraz|Ahmad Faraz Poetry|Ramadan | Ahmad Faraz Best Shayari
Yeh jang haar na jaaye, sipah qaid mein hai ||Release Imran Khan||Imran khan|Poetry
Переглядів 2,9 тис.5 місяців тому
Yeh jang haar na jaaye, sipah qaid mein hai ||Release Imran Khan||Imran khan|Poetry
Jab tujhe yaad karen kar-e-jahan khenchta hai|Ahmad Faraz Poetry|Ahmad Faraz Shayari|Urdupoetry
Переглядів 3,4 тис.5 місяців тому
Jab tujhe yaad karen kar-e-jahan khenchta hai|Ahmad Faraz Poetry|Ahmad Faraz Shayari|Urdupoetry
Ye Apni Marzi Se Sochta Hai Isy Utha Lo|Ahmad Farhad|Urdupoetry|#releaseimranriaz#releaseimrankhan
Переглядів 1545 місяців тому
Ye Apni Marzi Se Sochta Hai Isy Utha Lo|Ahmad Farhad|Urdupoetry|#releaseimranriaz#releaseimrankhan
Jo Hum Pey Guzry Thy Ranj Sary|To log Smjhy|Ahmed Salman|Urdu Poetry|Urdu Sufi Poetry
Переглядів 4955 місяців тому
Jo Hum Pey Guzry Thy Ranj Sary|To log Smjhy|Ahmed Salman|Urdu Poetry|Urdu Sufi Poetry
Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Best Shayari|Urdu Poetry |Urdu Sufi Poetry
Переглядів 7 тис.6 місяців тому
Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Best Shayari|Urdu Poetry |Urdu Sufi Poetry
'Har Koi Dil Ki Hatheli Pay Hai Sehra Rakhe'|Ahmad Faraz|Ahmad Faraz Best Poetry
Переглядів 1,4 тис.6 місяців тому
'Har Koi Dil Ki Hatheli Pay Hai Sehra Rakhe'|Ahmad Faraz|Ahmad Faraz Best Poetry
Zia Mohyeddin|Zia Mohyeddin x Mirza Ghalib|Zia Mohyeddin Poetry|Zia Mohiuddin|Urdu Poetry
Переглядів 4,3 тис.7 місяців тому
Zia Mohyeddin|Zia Mohyeddin x Mirza Ghalib|Zia Mohyeddin Poetry|Zia Mohiuddin|Urdu Poetry
Jaan Sey ishq aur Jahan sey gurez|Ahmad Faraz|Ahmad Faraz Best Poetry|Urdu Sufi Poetry
Переглядів 1,1 тис.7 місяців тому
Jaan Sey ishq aur Jahan sey gurez|Ahmad Faraz|Ahmad Faraz Best Poetry|Urdu Sufi Poetry
'Usny Sakoot-e-Shab main b apna Payaam rakh diya'|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Best Shayari
Переглядів 1,7 тис.7 місяців тому
'Usny Sakoot-e-Shab main b apna Payaam rakh diya'|Ahmad Faraz Best Poetry|Ahmad Faraz Best Shayari
Kahin Weley Awain Mil Mekun|Tehzeeb Hafi Sariaki Poetry|Tehzeeb Hafi Poetry|Tehzeeb Hafi Shayari
Переглядів 6048 місяців тому
Kahin Weley Awain Mil Mekun|Tehzeeb Hafi Sariaki Poetry|Tehzeeb Hafi Poetry|Tehzeeb Hafi Shayari
Is Ek Dar Se KHwab Dekhta Nahin|Tehzeeb Hafi Poetry|Tehzeeb Hafi Shayari|Urdu Sufi Poetry
Переглядів 2,9 тис.8 місяців тому
Is Ek Dar Se KHwab Dekhta Nahin|Tehzeeb Hafi Poetry|Tehzeeb Hafi Shayari|Urdu Sufi Poetry
Tu kisi aur hi duniya me mili thi mujh sey|Tehzeeb Hafi Poetry|Tehzeeb Hafi Shayari|Urdu Sufi Poetry
Переглядів 2,1 тис.8 місяців тому
Tu kisi aur hi duniya me mili thi mujh sey|Tehzeeb Hafi Poetry|Tehzeeb Hafi Shayari|Urdu Sufi Poetry

КОМЕНТАРІ